kiya mujh ishq ne zalim kuun aab ahista-ahista ki atish gul kuun karti hai gulab ahista-ahista vafadari ne dilbar ki bujhaya atish-e-ghham kuun ki garmi dafaa karta hai gulab ahista-ahista ajab kuchh lutf rakhta hai shab-e-khalvat men gul-ru suun khitab ahista-ahista javab ahista-ahista mire dil kuun kiya be-khud tiri ankhiyan ne akhir kuun ki jyuun behosh karti hai sharab ahista-ahista hua tujh ishq suun ai atishin-ru dil mira paani ki jyuun galta hai atish suun gulab ahista-ahista ada-o-naz suun aata hai vo raushan-jabin ghar suun ki jyuun mashriq suun nikle aftab ahista-ahista kiya mujh ishq ne zalim kun aab aahista-ahista ki aatish gul kun karti hai gulab aahista-ahista wafadari ne dilbar ki bujhaya aatish-e-gham kun ki garmi dafa karta hai gulab aahista-ahista ajab kuchh lutf rakhta hai shab-e-khalwat mein gul-ru sun khitab aahista-ahista jawab aahista-ahista mere dil kun kiya be-khud teri ankhiyan ne aakhir kun ki jyun behosh karti hai sharab aahista-ahista hua tujh ishq sun ai aatishin-ru dil mera pani ki jyun galta hai aatish sun gulab aahista-ahista ada-o-naz sun aata hai wo raushan-jabin ghar sun ki jyun mashriq sun nikle aaftab aahista-ahista
Related Ghazal
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Wali Dakni.
Similar Moods
More moods that pair well with Wali Dakni's ghazal.







