ghazalKuch Alfaaz

koi misaal nahin hai tiri misaal ke baad main be khayal hua hooñ tire khayal ke baad bas ik malaal pe tu zindagi tamaam na kar bade malaal milegen mire malaal ke baad har ek zakham ko ashkon se dho ke choom liya main aise theek hua uski dekh-bhaal ke baad uljh ke rah gaya vo jaal men tabeebon ke mareez ghar nahin lautaa hai aspataal ke baad dua salaam se aage main badh nahin paata use bhi sochna padta hai haal-chaal ke baad hamaare beech men jo hai sahi nahin hai vo use ye yaad bhi aaya to chaar saal ke baad hazaaron KHvaab jo aankhoñ ke aasre the kabhi yateem ho ga.e aankhoñ ke intikaal ke baad

Varun Anand22 Likes

Related Ghazal

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain

Dagh Dehlvi

84 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

More from Varun Anand

marham ke nahin hain ye taraf-daar namak ke nikle hain mire zakham talabgaar namak ke aaya koi sailaab kahaanii men achaanak aur ghul ga.e paani men vo kirdaar namak ke dono hi kinaaron pe thii beemaaron ki majlis is paar the meethe ke to us paar namak ke us ne hi diye zakham ye gardan pe hamaari phir us ne hi pahnaaye ha men haar namak ke kahti thii ghazal mujh ko hai marham ki zaroorat aur dete rahe sab use ashaar namak ke jis samt mila karti theen zaKHmon ki dawaayein sunte hain ki ab hain vahaañ bazaar namak ke

Varun Anand

9 likes

kahii na aisa ho apna vaqaar kha jaa.e khizaan se phool bachaayein bahaar kha jaa.e hamaare jaisa kahaan dil kisi ka hogaa bhala jo dard pale rakhe aur qaraar kha jaa.e palat ke sang tiri aur fenk saka hooñ ki main vo qais nahin haan jo maar kha jaa.e usii ka daakhila is dasht men karo ab se jo sabr pee sake apna ghubaar kha jaa.e bahut qaraar hai thodii si be-qaraari de kahii na aisa ho mujh ko qaraar kha jaa.e ajab safeena hai ye vaqt ka safeena bhi jo apni god men baitha sawaar kha jaa.e

Varun Anand

21 likes

ye shokhiyaan ye jawaani kahaan se laayein ham tumhaare husn ka saani kahaan se laayein ham mohabbatein vo puraani kahaan se laayein ham ruki nadi men ravaani kahaan se laayein ham hamaari aankh hai paivast ek sehra men ab aisi aankh men paani kahaan se laayein ham har ek lafz ke maani talashte ho tum har ek lafz ka maani kahaan se laayein ham chalo bataa den zamaane ko apne baare men ki roz jhooti kahaanii kahaan se laayein ham

Varun Anand

13 likes

kaash ki main bhi hota patthar gar tha un ko pyaara patthar logon ki to baat karen kya teraa dil bhi niklaa patthar ham dono men banti kaise ek tha sheesha dooja patthar sheesha to kamzor badaa tha phir bhi kaise toota patthar sab ke hisse heere motimere hisse aaya patthar paaras tha vo tum ne jaana sab ne jis ko samjha patthar kal tak phool the jin haathon men un haathon men aaj tha patthar

Varun Anand

21 likes

yuñ apni pyaas ki KHud hi kahaanii likh rahe the ham sulagti ret pe ungli se paani likh rahe the ham miyaan bas maut hi sach hai vahaañ ye likh gaya koi jahaan par zindagaani zindagaani likh rahe the ham mile tujh se to duniya ko suhaani likh diya ham ne vagarna kab se us ko be-maa'ni likh rahe the ham humeen pe gir padi kal raat vo deewaar ro ro kar ki jis pe apne maazi ki kahaanii likh rahe the ham

Varun Anand

27 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Varun Anand.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Varun Anand's ghazal.