ghazalKuch Alfaaz

koi takra ke subuk-sar bhi to ho saka hai meri ta'aamir men patthar bhi to ho saka hai kyun na ai shaKHs tujhe haath laga kar dekhooñ tu mire vaham se badh kar bhi to ho saka hai tu hi tu hai to phir ab jumla jamaal-e-duniya teraa shak aur kisi par bhi to ho saka hai ye jo hai phool hatheli pe ise phool na jaan meraa dil jism se baahar bhi to ho saka hai shaakh par baithe parinde ko udaane waale ped ke haath men patthar bhi to ho saka hai kya zaroori hai ki baahar hi numoo ho meri meraa khilna mire andar bhi to ho saka hai ye jo hai ret ka teela mire qadmon ke tale koi dam men mire u uupar bhi to ho saka hai kya zaroori hai ki ham haar ke jeeten taabish ishq ka khel barabar bhi to ho saka hai

Related Ghazal

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

More from Abbas Tabish

tootte ishq men kuchh haath bantaate jaate saara malba mere u uupar na giraate jaate itni ujlat men bhi kya aankh se ojhal hona ja rahe the to mujhe tum nazar aate jaate kam se kam rakhta palatne ki tavqko tum se haath men haath liya tha to dabate jaate kin andheron men mujhe chhod diya hai tumne is se behtar tha mujhe aag lagaate jaate main bhi hota tere raaste ke darakhton men darakht is tarah dekh to leta tujhe aate jaate

Abbas Tabish

12 likes

ye bataa yaum-e-mohabbat ka samaan hai ki nahin shahar ka shahar gulaabon ki dukaaan hai ki nahin aadatan uske li.e phool khareede varna nahin maaloom vo is baar yahaañ hai ki nahin ye tere baad jo leta hooñ main lambi saansen mujh...ko ye jaanna hai jism men jaañ hai ki nahin ham to phoolon ke evaz phool liya karte hain kya khabar iska rivaaz aap ke yahaañ hai ki nahin us gali ka to pata theek bataaya tune ye bataa us men vo dildaar makaan hai ki nahin pahle to mujh...ko dilaate hai vo ghussa taabish aur phir poochte hai munh men zabaan hai ki nahin

Abbas Tabish

13 likes

na pooch kitne hai betaab dekhne ke li.e ham ek saath kaiyen khwaab dekhne ke li.e main apne aap se baahar nikal ke baith gaya ki aaj aayenge ahbaab dekhne ke li.e jamaane baad bil-aakhir vo raat aa gayi hai ki log nikle hai mahtaab dekhne ke li.e sunhari ladkiyon inko milo milo na milo gareeb hote hai bas khwaab dekhne ke li.e mujhe yaqeen hai ki tum aaina bhi dekhoge meri shikast ke asbaab dekhne ke li.e

Abbas Tabish

16 likes

tum ho to qareeb aur qareeb-e-rag-e-jaan ho phir kyuuñ ye mujhe poochna padta hai kahaan ho mumkin hai ki is baag men dam ghutne ka baays khushboo jise kahte hain vo phoolon ka dhuaa ho tumse to padhi jaati nahin ashqon ki sataren jaise ye kisi aur jahaan ki zubaan ho is tarah sare-farsh-e-'aza bai thii hai taabish jaise ye udaasi kisi maqtool ki maa ho maa thii to mujhe raat nahin padtii thii baahar ab koi nahin poochta abbaas kahaan ho

Abbas Tabish

7 likes

dasht men pyaas bujhaate hue mar jaate hain ham parinde kahiin jaate hue mar jaate hain ham hain sukhe hue taalaab pe baithe hue hans jo muqaddam ko nibhaate hue mar jaate hain ghar pahunchta hai koii aur hamaare jaisa ham tere shahar se jaate hue mar jaate hain kis tarah log chale jaate hain uth kar chup chaap ham to ye dhyaan men late hue mar jaate hain un ke bhi qatl ka ilzaam hamaare sar hai jo ha men zehar pilaate hue mar jaate hain ye mohabbat kii kahaanii nahin marti lekin log kirdaar nibhaate hue mar jaate hain ham hain vo tooti hui kashtiyon waale taabish jo kinaaron ko milaate hue mar jaate hain

Abbas Tabish

21 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Abbas Tabish.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Abbas Tabish's ghazal.