ghazalKuch Alfaaz

koi ye laakh kahe mere banaane se mila har naya rang zamaane ko purane se mila fikr har baar KHamoshii se mili hai mujh ko aur zamaana ye mujhe shor machaane se mila us ki taqdeer andheron ne likhi thii shaayad vo ujaala jo charaaghon ko bujhaane se mila poochte kya ho mila kaise ye jungle ko tilism chaanv men dhoop ki rangat ko milaane se mila aur logon se mulaqaat kahaan mumkin thii vo to KHud se bhi mila hai to bahaane se mila meri tashkeel to kuchh aur hui thii daanish ye naya naqsh mujhe KHud ko mitaane se mila

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

kisi libaas ki khushboo jab ud ke aati hai tere badan ki judaai bahut sataati hai tere gulaab tarsate hain teri khushboo ko teri safed chameli tujhe bulaati hai tere baghair mujhe chain kaise padta hain mere bagair tujhe neend kaise aati hai

Jaun Elia

113 likes

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

More from Madan Mohan Danish

ye maana us taraf rastaa na jaa.e magar phir bhi mujhe roka na jaa.e badal sakti hai rukh tasveer apna kuchh itne ghaur se dekha na jaa.e uljhane ke li.e sau uljhane hain bas apne aap se uljha na jaa.e iraada waapsi ka ho agar to bahut gehraai men utara na jaa.e hamaari arz bas itni hai daanish udaasi ka sabab poocha na jaa.e

Madan Mohan Danish

6 likes

tum apne aap par ehsaan kyun nahin karte kiya hai ishq to elaan kyun nahin karte sajaaye firte ho mehfil na jaane kis kis ki kabhi parindon ko mehmaan kyun nahin karte vo dekhte hi nahin jo hai manzaron se alag kabhi nigaah ko hairaan kyun nahin karte puraani samton men chalne ki sab ko aadat hai nayi dishaon ka vo dhyaan kyun nahin karte bas ik charaaghh ke bujhne se bujh ga.e daanish tum aandhiyon ko pareshaan kyun nahin karte

Madan Mohan Danish

9 likes

koi kaanta na ho gulaabon men aisa mumkin hai sirf KHvaabon men dil ko kaise qaraar aata hai ye likha hi nahin kitaabon men itne seedhe sawaal the mere vo uljhta gaya jawaabon men main hi uskaa ghuroor tha daanish aur mujhi ko rakha kharaabon men

Madan Mohan Danish

13 likes

patthar pahle KHud ko patthar karta hai uske baad hi kuchh kaarigar karta hai ek zaraa si kashtii ne lalkaara hai ab dekhen kya dhong samandar karta hai kaan laga kar mausam ki baatein suniye qudrat ka sab haal ujaagar karta hai uski baaton men ras kaise paida ho baat bahut hi soch-samajhkar karta hai jis..ko dekho daanish ka deewaana hai kya vo koi jadoo-mantra karta hai

Madan Mohan Danish

27 likes

ham apne dukh ko gaane lag ga.e hain magar is men zamaane lag ga.e hain kisi ki tarbiyat ka hai karishma ye aañsu muskuraane lag ga.e hain kahaanii rukh badalna chahti hai naye kirdaar aane lag ga.e hain ye haasil hai mirii KHaamoshiyon ka ki patthar aazmaane lag ga.e hain ye mumkin hai kisi din tum bhi aao parinde aane jaane lag ga.e hain jinhen ham manzilon tak le ke aa.e vahii rastaa bataane lag ga.e hain sharaafat rang dikhlaati hai daanish kaii dushman thikaane lag ga.e hain

Madan Mohan Danish

27 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Madan Mohan Danish.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Madan Mohan Danish's ghazal.