koi khushi ghhami ho main tab yaad aunga har haal dhund lunga sabab yaad aunga sab mausamon ko bin mire chahe guzar lo barsat jab bhi aaegi tab yaad aunga khoega jab jahan hasinon ki bhiid men main chand koi aisi hi shab yaad aunga ankhon men le chhupa ki khayalon men dafn kar ban kar main ek khvab-e-tarab yaad aunga tu yaad kar na kar mujhe ye to gavara hai sochega jab tu ghhair ko tab yaad aunga aisi bhi mere dost faraghhat nahin mujhe baitha huun intizar men kab yaad aunga yuun ho ke khush-guman guzari hai zindagi jab yaad aunga to ghhazab yaad aunga kab tak guzaroge yahan auron ki zindagi jab hogi tum ko apni talab yaad aunga khush-fahmi ka ye silsila 'abrak' daraz hai uth jaunga jahan se main tab yaad aunga koi khushi ghami ho main tab yaad aaunga har haal dhund lunga sabab yaad aaunga sab mausamon ko bin mere chahe guzar lo barsat jab bhi aaegi tab yaad aaunga khoega jab jahan hasinon ki bhid mein main chand koi aisi hi shab yaad aaunga aankhon mein le chhupa ki khayalon mein dafn kar ban kar main ek khwab-e-tarab yaad aaunga tu yaad kar na kar mujhe ye to gawara hai sochega jab tu ghair ko tab yaad aaunga aisi bhi mere dost faraghat nahin mujhe baitha hun intizar mein kab yaad aaunga yun ho ke khush-guman guzari hai zindagi jab yaad aaunga to ghazab yaad aaunga kab tak guzaroge yahan auron ki zindagi jab hogi tum ko apni talab yaad aaunga khush-fahmi ka ye silsila 'abrak' daraaz hai uth jaunga jahan se main tab yaad aaunga
Related Ghazal
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Atbaf Abrak.
Similar Moods
More moods that pair well with Atbaf Abrak's ghazal.







