kotah-qad hain ham to koi sar-kashida ho avaza ho kuchh aisa ki har-kas shunida ho vo iltifat-e-khas pe maael hua to kya phailae kya vo shakhs jo daman-darida ho us vaqt tak to shakh men rahna hi chahiye jab tak ki koi ghhuncha-e-gul nau-damida ho kaisi ye shakh hai ki samar se jhuki nahin har shakhs dil men kahta hai pyari khamida ho ji chahta hai khul ke kisi ki sana karen lekin ye sochte hain ki kis ka qasida ho 'arif' tamam 'umr rahi dil men aarzu jo likkhun chhap sake koi aisa jarida ho kotah-qad hain hum to koi sar-kashida ho aawaza ho kuchh aisa ki har-kas shunida ho wo iltifat-e-khas pe mael hua to kya phailae kya wo shakhs jo daman-darida ho us waqt tak to shakh mein rahna hi chahiye jab tak ki koi ghuncha-e-gul nau-damida ho kaisi ye shakh hai ki samar se jhuki nahin har shakhs dil mein kahta hai pyari khamida ho ji chahta hai khul ke kisi ki sana karen lekin ye sochte hain ki kis ka qasida ho 'arif' tamam 'umr rahi dil mein aarzu jo likkhun chhap sake koi aisa jarida ho
Related Ghazal
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Manzoor Arif.
Similar Moods
More moods that pair well with Manzoor Arif's ghazal.







