kya kahte kya ji men tha shor bahut basti men tha pahli buund giri tap se phir sab kuchh paani men tha chhaten girin ghar baith gae zor aisa andhi men tha maujen sahil phand gaiin dariya gali gali men tha meri laash nahin hai ye kya itna bhari main tha akhir tufan guzar gaya dekha to baaqi main tha chhod gaya mujh ko 'alvi' shayad vo jaldi men tha kya kahte kya ji mein tha shor bahut basti mein tha pahli bund giri tap se phir sab kuchh pani mein tha chhaten girin ghar baith gae zor aisa aandhi mein tha maujen sahil phand gain dariya gali gali mein tha meri lash nahin hai ye kya itna bhaari main tha aakhir tufan guzar gaya dekha to baqi main tha chhod gaya mujh ko 'alwi' shayad wo jaldi mein tha
Related Ghazal
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
More from Mohammad Alvi
dhoop ne guzarish ki ek boond baarish ki lo gale pade kaañte kyun gulon ki KHvaahish ki jagmaga uthe taare baat thii numaish ki ik patinga ujrat thii chipkili ki jumbish ki ham tavakko rakhte hain aur vo bhi bakshish ki lutf aa gaya alvee waah khoob koshish ki
Mohammad Alvi
3 likes
din ik ke baa'd ek guzarte hue bhi dekh ik din tu apne aap ko marte hue bhi dekh har vaqt khilte phool ki jaanib taka na kar murjha ke pattiyon ko bikharte hue bhi dekh haan dekh barf girti hui baal baal par tapte hue khayal thithurte hue bhi dekh apnon men rah ke kis li.e sehama hua hai tu aa mujh ko dushmanon se na darte hue bhi dekh paivand baadlon ke lage dekh jaa-ba-jaa bagalon ko aasmaan katarte hue bhi dekh hairaan mat ho tairti machhlii ko dekh kar paani men raushni ko utarte hue bhi dekh us ko khabar nahin hai abhii apne husn ki aaina de ke bante-sanwarte hue bhi dekh dekha na hogaa tu ne magar intizaar men chalte hue samay ko theharte hue bhi dekh taa'riif sun ke dost se alvee tu KHush na hous ko tiri buraiyaan karte hue bhi dekh
Mohammad Alvi
5 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Mohammad Alvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Mohammad Alvi's ghazal.







