la phir ik baar vahi baada o jaam ai saaqi haath aa jaae mujhe mera maqam ai saaqi tiin sau saal se hain hind ke mai-khane band ab munasib hai tira faiz ho aam ai saaqi meri mina-e-ghhazal men thi zara si baaqi shekh kahta hai ki hai ye bhi haram ai saaqi sher mardon se hua besha-e-tehqiq tahi rah gae suufi o mulla ke ghhulam ai saaqi ishq ki teghh-e-jigar-dar uda li kis ne ilm ke haath men khali hai niyam ai saaqi siina raushan ho to hai soz-e-sukhan ain-e-hayat ho na raushan to sukhan marg-e-davam ai saaqi tu miri raat ko mahtab se mahrum na rakh tire paimane men hai mah-e-tamam ai saaqi la phir ek bar wahi baada o jam ai saqi hath aa jae mujhe mera maqam ai saqi tin sau sal se hain hind ke mai-khane band ab munasib hai tera faiz ho aam ai saqi meri mina-e-ghazal mein thi zara si baqi shekh kahta hai ki hai ye bhi haram ai saqi sher mardon se hua besha-e-tehqiq tahi rah gae sufi o mulla ke ghulam ai saqi ishq ki tegh-e-jigar-dar uda li kis ne ilm ke hath mein khali hai niyam ai saqi sina raushan ho to hai soz-e-sukhan ain-e-hayat ho na raushan to sukhan marg-e-dawam ai saqi tu meri raat ko mahtab se mahrum na rakh tere paimane mein hai mah-e-tamam ai saqi
Related Ghazal
jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho
Tehzeeb Hafi
268 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
kya khabar us raushni men aur kya raushan hua jab vo in haathon se pahli martaba raushan hua vo mere seene se lagkar jis..ko roee kaun tha kiske bujhne pe main aaj uski jagah raushan hua vaise main in raaston aur taakhchon ka tha nahin phir bhi tune jis jagah par rakh diya raushan hua mere jaane par sabhi roye bahut roye magar ik diya meri tavqko se siva raushan hua tere apne teri kirnon ko tarsate hai yahaañ tu ye kin galiyon men kin logon men ja raushan hua maine poocha tha ki mujh jaisa bhi koi aur hai door jungle men kahii ik maqbara raushan hua jaane kaisi aag men vo jal raha hai in dinon usne munh ponchha to meraa toliyaa raushan hua koi uski raushni ke shar se kab mahfooz hai meri aañkhen bujh gaii aur koylaa raushan hua
Tehzeeb Hafi
57 likes
ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e
Yasir Khan
92 likes
More from Allama Iqbal
gulzaar-e-hast-o-bood na begaana-waar dekh hai dekhne ki cheez ise baar baar dekh aaya hai tu jahaan men misaal-e-sharaar dekh dam de na jaa.e hasti-na-paayedaar dekh maana ki teri deed ke qaabil nahin hooñ main tu miraa shauq dekh miraa intizaar dekh khuli hain zauq-e-deed ne aañkhen tiri agar har raahguzaar men naqsh-e-kaf-e-pa-e-yaar dekh
Allama Iqbal
1 likes
apni jaulaan-gaah zer-e-aasmaan samjha tha main aab o gil ke khel ko apna jahaan samjha tha main be-hijaabi se tiri toota nigaahon ka tilism ik rida-e-neel-goon ko aasmaañ samjha tha main kaarwaan thak kar fazaa ke pech-o-kham men rah gaya mehr o maah o mushtari ko hum-inaan samjha tha main ishq ki ik jast ne tay kar diya qissa tamaam is zameen o aasmaañ ko be-karaan samjha tha main kah gaiin raaz-e-mohabbat parda-daari-ha-e-shauq thii fugaan vo bhi jise zabt-e-fughaan samjha tha main thii kisi darmaanda rah-rau ki sada-e-dardnaak jis ko aawaaz-e-raheel-e-kaarvaan samjha tha main
Allama Iqbal
1 likes
asar kare na kare sun to le mirii fariyaad nahin hai daad ka taalib ye banda-e-aazaad ye musht-e-khaak ye sarsar ye wusa'at-e-aflaak karam hai ya ki sitam teri lazzat-e-eijaad thehar sakaa na hawa-e-chaman men khema-e-gul yahii hai fasl-e-bahaari yahii hai baad-e-muraad qusoor-waar ghareeb-ud-dayaar hooñ lekin tira kharaabaa farishte na kar sake aabaad mirii jafa-talbi ko duaaein deta hai vo dasht-e-saada vo teraa jahaan-e-be-buniyaad khatr-pasand tabeeyat ko saazgaar nahin vo gulsitaan ki jahaan ghaat men na ho sayyaad maqaam-e-shauq tire qudsiyon ke bas ka nahin unhin ka kaam hai ye jin ke hausale hain ziyaad
Allama Iqbal
5 likes
na tu zameen ke li.e hai na aasmaañ ke li.e jahaan hai tere li.e tu nahin jahaan ke li.e ye aql o dil hain sharar shola-e-mohabbat ke vo khaar-o-khas ke li.e hai ye neestaan ke li.e maqaam-e-parvarish-e-aah-o-laala hai ye chamanna sair-e-gul ke li.e hai na aashiyaan ke li.e rahega raavi o neel o furaat men kab tak tira safeena ki hai bahr-e-be-karan ke li.e nishaan-e-raah dikhaate the jo sitaaron ko taras ga.e hain kisi mard-e-raah-daan ke li.e nigah buland sukhun dil-nawaz jaañ pur-soz yahii hai rakht-e-safar meer-e-kaarwaan ke li.e zaraa si baat thii andesha-e-ajm ne use badha diya hai faqat zeb-e-daastaan ke li.e mire guloo men hai ik naghma jibraail-aashob sambhaal kar jise rakha hai la-makaan ke li.e
Allama Iqbal
1 likes
mata-e-be-baha hai dard-o-soz-e-aarzooman dii maqaam-e-bandagi de kar na luun shaan-e-khudaavan dii tire azaad bandon ki na ye duniya na vo duniya yahaañ marne ki paaban dii vahaañ jeene ki paaban dii hijaab ikseer hai aawaara-e-koo-e-mohabbat ko mirii aatish ko bhadrkaati hai teri der-paivan dii guzar-auqaat kar leta hai ye koh o biyaabaan men ki shaheen ke li.e zillat hai kaar-e-aashiyaan-ban dii ye faizaan-e-nazar tha ya ki khushhaali ki karaamat thii sikhaae kis ne ismaail ko aadaab-e-farzan dii ziyaarat-gaah-e-ahl-e-azm-o-himmat hai lahd mirii ki khaak-e-raah ko main ne bataaya raaz-e-alvan dii mirii mashshaatgi ki kya zaroorat husn-e-ma'ni ko ki fitrat KHud-ba-KHud karti hai laale ki hina-ban dii
Allama Iqbal
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Allama Iqbal.
Similar Moods
More moods that pair well with Allama Iqbal's ghazal.







