ghazalKuch Alfaaz

lagte hain nit jo khuban sharmane bavle hain ham log vahshi khabti divane bavle hain ye sehr kya kiya hai balon ki darhami ne jo us pari par apne begane bavle hain ji jhonkta hai koi atish men nahaq apna jalte hain shama par jo parvane bavle hain ismat ka apni us ko jab aaphi ghham na hove lagte hain ham jo nahaq ghham khane bavle hain us mai ka ek qatra surakh-e-dil kare hai bhar bhar jo ham piyen hain paimane bavle hain gardish se putliyon ki sar-gashta hai zamana masti se us nigah ki mai-khane bavle hain jaate hain us gali men ladkon ko saath le kar myaan 'mushafi' bhi yaaro kya syane bavle hain lagte hain nit jo khuban sharmane bawle hain hum log wahshi khabti diwane bawle hain ye sehr kya kiya hai baalon ki darhami ne jo us pari par apne begane bawle hain ji jhonkta hai koi aatish mein nahaq apna jalte hain shama par jo parwane bawle hain ismat ka apni us ko jab aaphi gham na howe lagte hain hum jo nahaq gham khane bawle hain us mai ka ek qatra surakh-e-dil kare hai bhar bhar jo hum piyen hain paimane bawle hain gardish se putliyon ki sar-gashta hai zamana masti se us nigah ki mai-khane bawle hain jate hain us gali mein ladkon ko sath le kar myan 'mushafi' bhi yaro kya syane bawle hain

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen

Mehshar Afridi

173 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Mushafi Ghulam Hamdani.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Mushafi Ghulam Hamdani's ghazal.