lehar ka KHvaab ho ke dekhte hain chal tah-e-ab ho ke dekhte hain us pe itnaa yaqeen hai ham kous ko betaab ho ke dekhte hain raat ko raat ho ke j aanaa tha KHvaab ko KHvaab ho ke dekhte hain apni arzaaniyon ke sadqe ham KHud ko naayaab ho ke dekhte hain sahilon ki nazar men aanaa hai phir to gharqaab ho ke dekhte hain vo jo paayaab kah raha tha hameinus ko sailaab ho ke dekhte hain
Related Ghazal
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
vo munh lagata hai jab koi kaam hota hai jo uskaa hota hai samjho ghulaam hota hai kisi ka ho ke dobaara na aanaa meri taraf mohabbaton men halaala haraam hota hai ise bhi ginte hain ham log ahl-e-kh aanaa men hamaare yaa to shajar ka bhi naam hota hai tujh aise shaKHs ke hote hain khaas dost bahut tujh aisa shaKHs bahut jald aam hota hai kabhi lagii hai tumhein koi shaam aakhiri shaam hamaare saath ye har ek shaam hota hai
Umair Najmi
81 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar
Anwar Shaoor
95 likes
More from Abhishek shukla
abhii to aap hi haa'il hai raasta shab ka qareeb aa.e to dekhenge hausla shab ka chali to aayi thii kuchh door saath saath mire phir is ke baad KHuda jaane kya hua shab ka mire khayal ke vahshat-kade men aate hi junoon ki nok se foota hai aablaa shab ka sehar ki pahli kiran ne use bikher diya mujhe sametne aaya tha jab KHuda shab ka zameen pe aa ke sitaaron ne ye kaha mujh se tire qareeb se guzra hai qaafila shab ka sehar ka lams mirii zindagi badha deta magar garaan tha bahut mujh pe kaatna shab ka k abhii k abhii to ye vehshat bhi ham pe guzri hai ki dil ke saath hi dekha hai doobna shab ka chatkh u thii hai rag-e-jaan to ye khayal aaya kisi ki yaad se judta hai silsila shab ka
Abhishek shukla
1 likes
ab ikhtiyaar men maujen na ye ravaani hai main bah raha hooñ ki meraa vujood paani hai main aur meri tarah tu bhi ek haqeeqat hai phir iske baad jo bachta hai vo kahaanii hai tere vujood men kuchh hai jo is zameen ka nahin tere khayal ki rangat bhi aasmaani hai zara bhi dakhl nahin is men in hawaon ka ha men to maslahatan apni KHaak udaani hai ye khwaab-gaah ye aañkhen ye meraa ishq-e-qadeem har ek cheez meri zaat men puraani hai vo ek din jo tujhe sochne men guzra tha tamaam umr usii din ki tarjumaani hai nawaah-e-jaan men bhatkati hain khushbuen jiski vo ek phool ki lagta hai raat-raani hai iraadtan to kahii kuchh nahin hua lekin main jee raha hooñ ye saanson ki khush-gumaani hai
Abhishek shukla
1 likes
dar-e-khayaal bhi khole siyaah shab bhi karen phir us ke baad tujhe sochen ye ghazab bhi karen vo jis ne shaam ke maathe pe haath fera hai ham us charagh-e-hawa-saaz ka adab bhi karen siyahiyaan si bikharna lagii hain seene men ab us sitaara-e-shab-taab ki talab bhi karen ye imtiyaaz zaroori hai ab ibadat men vahii dua jo nazar kar rahi hai lab bhi karen ki jaise KHvaab dikhaana tasalliyaan dena kuchh ek kaam mohabbat men be-sabab bhi karen main jaanta hooñ ki taabeer hi nahin mumkin vo mere KHvaab ki tashreeh chahe jab bhi karen shikast-e-khwaab ki manzil bhi kab nayi hai ha men vahii jo karte chale aayen hain so ab bhi karen
Abhishek shukla
0 likes
tujhse waabasta koi gham nahin rakhne waale jis..ko rakhna ho rakhe ham nahin rakhne waale apne uljhe hue baalon ki kasam ham is baar teri agar men koi kham nahin rakhne waale ek hawwa ki muhabbat ke siva seene men aur kuchh hazrat-e-adam nahin rakhne waale
Abhishek shukla
2 likes
khala ke jaisa koi darmiyaan bhi padta phir is safar men kahii aasmaan bhi padta main chot kar to raha hooñ hawa ke maathe par mazaa to jab tha ki koi nishaan bhi padta ajeeb khwaahishein uthatii hain is kharaabe men guzar rahe hain to apna makaan bhi padta humeen jahaan ke peeche pade rahen kab tak hamaare peeche kabhi ye jahaan bhi padta ye ik kamii ki jo ab zindagi si lagti hai hamaari dhoop men vo saayebaan bhi padta har ek roz isee zindagi ki tayyaari so chahte hain kabhi imtihaan bhi padta
Abhishek shukla
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Abhishek shukla.
Similar Moods
More moods that pair well with Abhishek shukla's ghazal.







