ghazalKuch Alfaaz

lahra ke jhuum jhuum ke la muskura ke la phulon ke ras men chand ki kirnen mila ke la kahte hain umr-e-rafta kabhi lautti nahin ja mai-kade se meri javani utha ke la saghhar-shikan hai shaikh-e-bala-nosh ki nazar shishe ko zer-e-daman-e-rangin chhupa ke la kyuun ja rahi hai ruuth ke rangini-e-bahar ja ek martaba use phir varghhala ke la dekhi nahin hai tu ne kabhi zindagi ki lahr achchha to ja 'adam' ki surahi utha ke la lahra ke jhum jhum ke la muskura ke la phulon ke ras mein chand ki kirnen mila ke la kahte hain umr-e-rafta kabhi lautti nahin ja mai-kade se meri jawani utha ke la saghar-shikan hai shaikh-e-bala-nosh ki nazar shishe ko zer-e-daman-e-rangin chhupa ke la kyun ja rahi hai ruth ke rangini-e-bahaar ja ek martaba use phir warghala ke la dekhi nahin hai tu ne kabhi zindagi ki lahr achchha to ja 'adam' ki surahi utha ke la

Related Ghazal

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Abdul Hamid Adam.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Abdul Hamid Adam's ghazal.