lamhe lamhe ki na-rasai hai zindagi halat-e-judai hai mard-e-maidan huun apni zaat ka main main ne sab se shikast khaai hai ik ajab haal hai ki ab us ko yaad karna bhi bevafai hai ab ye surat hai jan-e-jan ki tujhe bhulne men miri bhalai hai khud ko bhula huun us ko bhula huun umr bhar ki yahi kamai hai main hunar-mand-e-rang huun main ne khuun thuka hai daad paai hai jaane ye tere vasl ke hangam teri furqat kahan se aai hai lamhe lamhe ki na-rasai hai zindagi haalat-e-judai hai mard-e-maidan hun apni zat ka main main ne sab se shikast khai hai ek ajab haal hai ki ab us ko yaad karna bhi bewafai hai ab ye surat hai jaan-e-jaan ki tujhe bhulne mein meri bhalai hai khud ko bhula hun us ko bhula hun umr bhar ki yahi kamai hai main hunar-mand-e-rang hun main ne khun thuka hai dad pai hai jaane ye tere wasl ke hangam teri furqat kahan se aai hai
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
maheenon baad daftar aa rahe hain ham ek sad men se baahar aa rahe hain teri baahon se dil ukta gaya hain ab is jhoole men chakkar aa rahe hain kahaan soya hai chaukidaar meraa ye kaise log andar aa rahe hain samandar kar chuka tasleem hamko khajaane KHud hi u uupar aa rahe hain yahii ek din bacha tha dekhne ko use bas men bitha kar aa rahe hain
Tehzeeb Hafi
116 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jaun Eliya.
Similar Moods
More moods that pair well with Jaun Eliya's ghazal.







