libas tan pe salamat hain haath khali hain ham ek mulk-e-khuda-dad ke savali hain na ham men aql-o-farasat na hikmat-o-tadbir magar hai zoam ki jamiyyat-e-misali hain munafiqat ne lahu tan men itna garmaya ki guftugu men riya-kariyan saja li hain khud apne aap se kad is qadar hamen hai ki ab rivayaten hi gulistan ki phunk daali hain hamare dil hain ab amaj-gah-e-hirs-o-havas ki ham ne sinon men tarikiyan uga li hain nashemanon ko ujada kuchh is tarah jaise ki fakhtaen darakhton se udne vaali hain kisi ghharib apahij faqir ki 'mohsin' kisi amiir ne baisakhiyan chura li hain libas tan pe salamat hain hath khali hain hum ek mulk-e-khuda-dad ke sawali hain na hum mein aql-o-farasat na hikmat-o-tadbir magar hai zoam ki jamiyyat-e-misali hain munafiqat ne lahu tan mein itna garmaya ki guftugu mein riya-kariyan saja li hain khud apne aap se kad is qadar hamein hai ki ab riwayaten hi gulistan ki phunk dali hain hamare dil hain ab aamaj-gah-e-hirs-o-hawas ki hum ne sinon mein tarikiyan uga li hain nashemanon ko ujada kuchh is tarah jaise ki fakhtaen darakhton se udne wali hain kisi gharib apahij faqir ki 'mohsin' kisi amir ne baisakhiyan chura li hain
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga
Hasan Abbasi
235 likes
itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen
Mehshar Afridi
173 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Mohsin Ehsan.
Similar Moods
More moods that pair well with Mohsin Ehsan's ghazal.







