madrase ke azaab ne maara teacheron ke itaab ne maara patli patli to yaad kar li thiin ek moti kitab ne maara imtihan ka shabab are tauba imtihan ke shabab ne maara khvab dekha tha paas hone ka us mujhe jhute khvab ne maara jitne asan saval aae the un ke mushkil javab ne maara jis ko daddy bhi padh ke paas na hon itne mushkil nisab ne maara tum ko geometryi ne maara hai mujh ko zalim hisab ne maara fail hone ka raaz faash kiya haae chashm-e-pur-ab ne maara main ne maara shahab ko ik roz aur mujh ko shahab ne maara madrase ke azab ne mara teacheron ke itab ne mara patli patli to yaad kar li thin ek moti kitab ne mara imtihan ka shabab are tauba imtihan ke shabab ne mara khwab dekha tha pas hone ka us mujhe jhute khwab ne mara jitne aasan sawal aae the un ke mushkil jawab ne mara jis ko daddy bhi padh ke pas na hon itne mushkil nisab ne mara tum ko geometryi ne mara hai mujh ko zalim hisab ne mara fail hone ka raaz fash kiya hae chashm-e-pur-ab ne mara main ne mara shahab ko ek roz aur mujh ko shahab ne mara
Related Ghazal
apni manzil ka raasta bhejo jaan ham ko vahaañ bula bhejo kya hamaara nahin raha saawan zulf yaa bhi koi ghatta bhejo nayi kaliyaan jo ab khili hain vahaañ un ki khushboo ko ik zaraa bhejo ham na jeete hain aur na marte hain dard bhejo na tum davaa bhejo dhool udti hai jo us aangan meinus ko bhejo saba saba bhejo ai fakeero gali ke us gul ki tum ha men apni khaak-e-pa bhejo shafq-e-shaam-e-hijr ke haathon apni utri hui qaba bhejo kuchh to rishta hai tum se kam-bakhton kuchh nahin koi bad-dua bhejo
Jaun Elia
29 likes
ye lauh-e-ishq pe likha hai tere shahar ke log vafaa se jeet bhi jaayen to haar jaayenge vo jin ke haath men kaaghaz ki kashtiyaañ hongi suna hai chand vahii log paar jaayenge kitaab-e-zarf-e-mohabbat pe haath rakh ke kaho sawaal jaan ka aaya to vaar jaayenge
Khalil Ur Rehman Qamar
23 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
ab us ka vasl mehnga chal raha hai to bas yaadon pe kharcha chal raha hai mohabbat do-qadam par thak gaii thii magar ye hijr kitna chal raha hai bahut hi dheere dheere chal rahe ho tumhaare zehan men kya chal raha hai bas ik hi dost hai duniya men apna magar us se bhi jhagda chal raha hai dilon ko todne ka fan hai tum men tumhaara kaam kaisa chal raha hai sabhi yaaron ke maqte ho chuke hain hamaara pehla misra chal raha hai ye taabish kya hai bas ik khota sikka magar ye khota sikka chal raha hai
Zubair Ali Tabish
30 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Yakta Amrohvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Yakta Amrohvi's ghazal.







