ghazalKuch Alfaaz

main apna naam tire jism par likha dekhun dikhai dega abhi battiyan bujha dekhun phir us ko paun mira intizar karte hue phir us makan ka darvaza adh-khula dekhun ghataen aaen to ghar ghar ko dubta paun hava chale to har ik ped ko gira dekhun kitab kholun to harfon men khalbali mach jaae qalam uthaun to kaghhaz ko phailta dekhun utaar phenkun badan se phati purani qamis badan qamis se badh kar kata-phata dekhun vahin kahin na padi ho tamanna jiine ki phir ek baar unhin jangalon men ja dekhun vo roz shaam ko 'alvi' idhar se jaati hai to kya main aaj use apne ghar bula dekhun main apna nam tere jism par likha dekhun dikhai dega abhi battiyan bujha dekhun phir us ko paun mera intizar karte hue phir us makan ka darwaza adh-khula dekhun ghataen aaen to ghar ghar ko dubta paun hawa chale to har ek ped ko gira dekhun kitab kholun to harfon mein khalbali mach jae qalam uthaun to kaghaz ko phailta dekhun utar phenkun badan se phati purani qamis badan qamis se badh kar kata-phata dekhun wahin kahin na padi ho tamanna jine ki phir ek bar unhin jangalon mein ja dekhun wo roz sham ko 'alwi' idhar se jati hai to kya main aaj use apne ghar bula dekhun

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Mohammad Alvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Mohammad Alvi's ghazal.