main pi rahi huun ki zahrab hain mire aansu tiri nazar men faqat aab hain mire aansu tu aftab hai mera main tujh se huun raushan tire huzur to mahtab hain mire aansu vo ghhaliban unhen hathon men thaam bhi leta use khabar na thi sailab hain mire aansu khayal rakhte hain tanhaiyon ka mahfil ka ye kitne vaqif-e-adab hain mire aansu chhupa ke rakhti huun har ghham ko laakh pardon men fasil-e-zabt se nayab hain mire aansu sahifa jaan ke ankhon ko padh raha hai koi ye rasm-e-ijra ko betab hain mire aansu main shaeri ke huun fann-e-aruz se vaqif zabar hain zer hain eraab hain mire aansu jise padha nahin tum ne kabhi mohabbat se kitab-e-zist ka vo baab hain mire aansu 'haya' ke raaz ko ankhon men dhundne vaalo shanavaro suno girdab hain mire aansu main pi rahi hun ki zahrab hain mere aansu teri nazar mein faqat aab hain mere aansu tu aaftab hai mera main tujh se hun raushan tere huzur to mahtab hain mere aansu wo ghaaliban unhen hathon mein tham bhi leta use khabar na thi sailab hain mere aansu khayal rakhte hain tanhaiyon ka mahfil ka ye kitne waqif-e-adab hain mere aansu chhupa ke rakhti hun har gham ko lakh pardon mein fasil-e-zabt se nayab hain mere aansu sahifa jaan ke aankhon ko padh raha hai koi ye rasm-e-ijra ko betab hain mere aansu main shaeri ke hun fann-e-aruz se waqif zabar hain zer hain erab hain mere aansu jise padha nahin tum ne kabhi mohabbat se kitab-e-zist ka wo bab hain mere aansu 'haya' ke raaz ko aankhon mein dhundne walo shanawaro suno girdab hain mere aansu
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain
Dagh Dehlvi
84 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Lata Haya.
Similar Moods
More moods that pair well with Lata Haya's ghazal.







