majnun ne shahr chhoda to sahra bhi chhod de nazzare ki havas ho to laila bhi chhod de vaaiz kamal-e-tark se milti hai yaan murad duniya jo chhod di hai to uqba bhi chhod de taqlid ki ravish se to behtar hai khud-kushi rasta bhi dhund khizr ka sauda bhi chhod de manind-e-khama teri zaban par hai harf-e-ghhair begana shai pe nazish-e-beja bhi chhod de lutf-e-kalam kya jo na ho dil men dard-e-ishq bismil nahin hai tu to tadapna bhi chhod de shabnam ki tarah phulon pe ro aur chaman se chal is baaghh men qayam ka sauda bhi chhod de hai ashiqi men rasm alag sab se baithna but-khana bhi haram bhi kalisa bhi chhod de sauda-gari nahin ye ibadat khuda ki hai ai be-khabar jaza ki tamanna bhi chhod de achchha hai dil ke saath rahe pasban-e-aql lekin kabhi kabhi ise tanha bhi chhod de jiina vo kya jo ho nafas-e-ghhair par madar shohrat ki zindagi ka bharosa bhi chhod de shokhi si hai saval-e-mukarrar men ai kalim shart-e-raza ye hai ki taqaza bhi chhod de vaaiz subut laae jo mai ke javaz men 'iqbal' ko ye zid hai ki piina bhi chhod de majnun ne shahr chhoda to sahra bhi chhod de nazzare ki hawas ho to laila bhi chhod de waiz kamal-e-tark se milti hai yan murad duniya jo chhod di hai to uqba bhi chhod de taqlid ki rawish se to behtar hai khud-kushi rasta bhi dhund khizr ka sauda bhi chhod de manind-e-khama teri zaban par hai harf-e-ghair begana shai pe nazish-e-beja bhi chhod de lutf-e-kalam kya jo na ho dil mein dard-e-ishq bismil nahin hai tu to tadapna bhi chhod de shabnam ki tarah phulon pe ro aur chaman se chal is bagh mein qayam ka sauda bhi chhod de hai aashiqi mein rasm alag sab se baithna but-khana bhi haram bhi kalisa bhi chhod de sauda-gari nahin ye ibaadat khuda ki hai ai be-khabar jaza ki tamanna bhi chhod de achchha hai dil ke sath rahe pasban-e-aql lekin kabhi kabhi ise tanha bhi chhod de jina wo kya jo ho nafas-e-ghair par madar shohrat ki zindagi ka bharosa bhi chhod de shokhi si hai sawal-e-mukarrar mein ai kalim shart-e-raza ye hai ki taqaza bhi chhod de waiz subut lae jo mai ke jawaz mein 'iqbaal' ko ye zid hai ki pina bhi chhod de
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
More from Allama Iqbal
har shay musaafir har cheez raahi kya chaand taare kya murgh o maahi tu mard-e-maidaan tu meer-e-lashkar noori huzoori tere sipaahi kuchh qadr apni tu ne na jaani ye be-swaa dii ye kam-nigaahi duniya-e-doo ki kab tak ghulaami ya rahebi kar ya paadshaahi peer-e-haram ko dekha hai main ne kirdaar-e-be-soz guftaar waahi
Allama Iqbal
4 likes
dil soz se khaali hai nigah paak nahin hai phir is men ajab kya ki tu bebaak nahin hai hai zauq-e-tajalli bhi isee KHaak men pinhaan ghaafil tu nira sahib-e-idraak nahin hai vo aankh ki hai surma-e-afrang se raushan purkaar o suhkan-saaz hai namnaak nahin hai kya sufi o mulla ko khabar mere junoon ki un ka sar-e-daaman bhi abhii chaak nahin hai kab tak rahe mahkoomi-e-anjum men mirii KHaak ya main nahin ya gardish-e-aflaak nahin hai bijli hooñ nazar koh o biyaabaan pe hai mirii mere li.e shaayaan khas-o-khaashaak nahin hai aalam hai faqat momin-e-jaanbaaz ki meeraas mumin nahin jo sahib-e-laulaak nahin hai
Allama Iqbal
1 likes
sakhtiyan karta hooñ dil par gair se ghaafil hooñ main haaye kya achchhii kahii zalim hooñ main jaahil hooñ main main jabhi tak tha ki teri jalwa-pairaai na thii jo numood-e-haq se mit jaata hai vo baatil hooñ main ilm ke dariyaa se nikle ghota-zan gauhar-b-dast waaye mehroomi khazaf chain lab saahil hooñ main hai mirii zillat hi kuchh mirii sharaafat ki daleel jis ki ghaflat ko malak rote hain vo ghaafil hooñ main bazm-e-hasti apni aaraish pe tu naazaan na ho tu to ik tasveer hai mehfil ki aur mehfil hooñ main dhoondhta firta hooñ main iqbaal apne-aap ko aap hi goya musaafir aap hi manzil hooñ main
Allama Iqbal
0 likes
na aate ha men is men takraar kya thii magar vaa'da karte hue aar kya thii tumhaare payaami ne sab raaz khola KHataa is men bande ki sarkaar kya thii bharii bazm men apne 'aashiq ko taada tiri aankh masti men hushyaar kya thii taammul to tha un ko aane men qaasid magar ye bataa tarz-e-inkaar kya thii khinche khud-bakhud jaanib-e-toor moosa kashish teri ai shauq-e-deedaar. kya thii kahii zikr rehta hai iqbaal teraa fusoon tha koi teri guftaar kya thii
Allama Iqbal
2 likes
asar kare na kare sun to le mirii fariyaad nahin hai daad ka taalib ye banda-e-aazaad ye musht-e-khaak ye sarsar ye wusa'at-e-aflaak karam hai ya ki sitam teri lazzat-e-eijaad thehar sakaa na hawa-e-chaman men khema-e-gul yahii hai fasl-e-bahaari yahii hai baad-e-muraad qusoor-waar ghareeb-ud-dayaar hooñ lekin tira kharaabaa farishte na kar sake aabaad mirii jafa-talbi ko duaaein deta hai vo dasht-e-saada vo teraa jahaan-e-be-buniyaad khatr-pasand tabeeyat ko saazgaar nahin vo gulsitaan ki jahaan ghaat men na ho sayyaad maqaam-e-shauq tire qudsiyon ke bas ka nahin unhin ka kaam hai ye jin ke hausale hain ziyaad
Allama Iqbal
5 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Allama Iqbal.
Similar Moods
More moods that pair well with Allama Iqbal's ghazal.







