ghazalKuch Alfaaz

malal zard-qabai ko dho raha hoga ragon ka surkh kahin sabz ho raha hoga vo jis ke dam se gulabi thi khvab-gah miri na jaane kis ke dhundlakon se so raha hoga mire safed kisi ka ruju maan bhi le ki ab nahin vo siyah raaz go raha hoga vo kesari jo miri odhni pe khul na saka ab apna biich kahin aur bo raha hoga jo surmai men khila ja raha hai shaam dhale kahin to apna sunahra samo raha hoga male-dale se pade hain jo nilgun lamhe inhi ka zoam samavat ko raha hoga pada hai rang se aari bunat se udhda hua guzishta nuqrai jhilmil ko ro raha hoga faza yunhi to nahin malgaji hui jaati koi to khak-nashin hosh kho raha hoga qatil-e-rang na hoga vo sair-chashm kabhi vafa ki dudhiya banhon men jo raha hoga malal zard-qabai ko dho raha hoga ragon ka surkh kahin sabz ho raha hoga wo jis ke dam se gulabi thi khwab-gah meri na jaane kis ke dhundlakon se so raha hoga mere safed kisi ka ruju man bhi le ki ab nahin wo siyah raaz go raha hoga wo kesari jo meri odhni pe khul na saka ab apna bich kahin aur bo raha hoga jo surmai mein khila ja raha hai sham dhale kahin to apna sunahra samo raha hoga male-dale se pade hain jo nilgun lamhe inhi ka zoam samawat ko raha hoga pada hai rang se aari bunat se udhda hua guzishta nuqrai jhilmil ko ro raha hoga faza yunhi to nahin malgaji hui jati koi to khak-nashin hosh kho raha hoga qatil-e-rang na hoga wo sair-chashm kabhi wafa ki dudhiya banhon mein jo raha hoga

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban

Varun Anand

81 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi

Jaun Elia

77 likes

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen

Ahmad Faraz

130 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Hamida Shaheen.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Hamida Shaheen's ghazal.