manzilen laakh kathin aayen guzar jaaunga hausla haar ke baithoonga to mar jaaunga chal rahe the jo mere saath kahaan hain vo log jo ye kahte the ki raste men bikhar jaaunga dar-b-dar hone se pahle kabhi socha bhi na tha ghar mujhe raas na aaya to kidhar jaaunga yaad rakhe mujhe duniya tiri tasveer ke saath rang aise tiri tasveer men bhar jaaunga laakh roken ye andhere mira rastaa lekin main jidhar raushni jaayegi udhar jaaunga raas aayi na mohabbat mujhe warna saaqi main ne socha tha ki har dil men utar jaaunga
Related Ghazal
thoda likkha aur ziyaada chhod diya aane waalon ke li.e rastaa chhod diya tum kya jaano us dariyaa par kya guzri tumne to bas paani bharna chhod diya ladkiyaan ishq men kitnii paagal hoti hain phone baja aur choolha jalta chhod diya roz ik patta mujh men aa girta hai jab se maine jungle jaana chhod diya bas kaanon par haath rakhe the thodii der aur phir us aawaaz ne peecha chhod diye
Tehzeeb Hafi
262 likes
teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga
Hasan Abbasi
235 likes
haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate
Rahat Indori
102 likes
bas ik usii pe to poori tarah ayaan hoon main vo kah raha hai mujhe raigaan to haan hoon main jise dikhaai doon meri taraf ishaara kare mujhe dikhaai nahin de raha kahaan hoon main idhar-udhar se nami ka risaav rehta hai sadak se neeche banaya gaya makaan hoon main kisi ne poocha ki tum kaun ho to bhool gaya abhii kisi ne bataaya to tha falan hoon main main KHud ko tujh se mitaaounga ehtiyaat ke saath tu bas nishaan laga de jahaan jahaan hoon main main kis se poochhun ye rastaa durust hai ki galat jahaan se koi guzarta nahin vahaan hoon main
Umair Najmi
55 likes
umr guzregi imtihaan men kya daagh hi denge mujh ko daan men kya meri har baat be-asar hi rahi naqs hai kuchh mire bayaan men kya mujh ko to koi tokta bhi nahin yahii hota hai khaandaan men kya apni mahroomiyaan chhupaate hain ham ghareebon ki aan-baan men kya KHud ko jaana juda zamaane se aa gaya tha mire gumaan men kya shaam hi se dukaan-e-deed hai band nahin nuksaan tak dukaan men kya ai mire subh-o-shaam-e-dil ki shafaq tu nahaati hai ab bhi baan men kya bolte kyun nahin mire haq men aable pad ga.e zabaan men kya KHaamushi kah rahi hai kaan men kya aa raha hai mire gumaan men kya dil ki aate hain jis ko dhyaan bahut KHud bhi aata hai apne dhyaan men kya vo mile to ye poochna hai mujhe ab bhi hooñ main tiri amaan men kya yuñ jo takta hai aasmaan ko tu koi rehta hai aasmaan men kya hai naseem-e-bahaar gard-aalood KHaak udti hai us makaan men kya ye mujhe chain kyun nahin padta ek hi shaKHs tha jahaan men kya
Jaun Elia
61 likes
More from Saqi Amrohvi
tamaam umr main har subah kii azaan ke baad ik imtihaan se guzra ek imtihaan ke baad KHuda kare ki kahiin aur gardish-e-taqdeer kisi ka ghar na ujaade mere makaan ke baad dhara hi kya hai mere paas nazr karne ko tere huzoor meri jaan meri jaan ke baad ye raaz us pe khulega jo KHud ko pahchaane ki ik yaqeen kii manzil bhi hai gumaan ke baad ye jurm kam hai ki sachchaai ka bharam rakkha saza to honi thii mujh ko mere bayaan ke baad mere KHuda use apni amaan men rakhna jo bach gaya hai mere khet men lagaan ke baad
Saqi Amrohvi
2 likes
kaun pursaan-e-haal hai meraa zinda rahna kamaal hai meraa tu nahin to tira khayal sahi koii to ham-khayaal hai meraa mere aasaab de rahe hain javaab hausla kab nidhaal hai meraa chadhta suraj bataa raha hai mujhe bas yahiin se zawaal hai meraa sab kii nazarein mirii nigaah men hain kis ko kitna khayal hai meraa
Saqi Amrohvi
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Saqi Amrohvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Saqi Amrohvi's ghazal.







