mata-e-kausar-o-zamzam ke paimane tiri ankhen farishton ko bana deti hain divane tiri ankhen jahan-e-rang-o-bu uljha hua hai un ke doron men lagi hain kakul-e-taqdir suljhane tiri ankhen isharon se dilon ko chhed kar iqrar karti hain uthati hain bahar-e-nau ke nazrane tiri ankhen vo divane zamam-e-lala-o-gul thaam lete hain jinhen mansub kar deti hain virane tiri ankhen shagufon ko shararon ka machalta ruup deti hain haqiqat ko bana deti hain afsane tiri ankhen mata-e-kausar-o-zamzam ke paimane teri aankhen farishton ko bana deti hain diwane teri aankhen jahan-e-rang-o-bu uljha hua hai un ke doron mein lagi hain kakul-e-taqdir suljhane teri aankhen ishaaron se dilon ko chhed kar iqrar karti hain uthati hain bahaar-e-nau ke nazrane teri aankhen wo diwane zamam-e-lala-o-gul tham lete hain jinhen mansub kar deti hain virane teri aankhen shagufon ko shararon ka machalta rup deti hain haqiqat ko bana deti hain afsane teri aankhen
Related Ghazal
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga
Hasan Abbasi
235 likes
itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen
Mehshar Afridi
173 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
umr guzregi imtihaan men kya daagh hi denge mujh ko daan men kya meri har baat be-asar hi rahi naqs hai kuchh mire bayaan men kya mujh ko to koi tokta bhi nahin yahii hota hai khaandaan men kya apni mahroomiyaan chhupaate hain ham ghareebon ki aan-baan men kya KHud ko jaana juda zamaane se aa gaya tha mire gumaan men kya shaam hi se dukaan-e-deed hai band nahin nuksaan tak dukaan men kya ai mire subh-o-shaam-e-dil ki shafaq tu nahaati hai ab bhi baan men kya bolte kyun nahin mire haq men aable pad ga.e zabaan men kya KHaamushi kah rahi hai kaan men kya aa raha hai mire gumaan men kya dil ki aate hain jis ko dhyaan bahut KHud bhi aata hai apne dhyaan men kya vo mile to ye poochna hai mujhe ab bhi hooñ main tiri amaan men kya yuñ jo takta hai aasmaan ko tu koi rehta hai aasmaan men kya hai naseem-e-bahaar gard-aalood KHaak udti hai us makaan men kya ye mujhe chain kyun nahin padta ek hi shaKHs tha jahaan men kya
Jaun Elia
61 likes
More from Saghar Siddiqui
main talkhi-e-hayaat se ghabra ke pee gaya gham ki siyaah raat se ghabra ke pee gaya itni daqeeq shay koi kaise samajh sake yazdaan ke waqiaat se ghabra ke pee gaya chalke hue the jaam pareshaan thii zulf-e-yaar kuchh aise haadsaat se ghabra ke pee gaya main aadmi hooñ koi farishta nahin huzoor main aaj apni zaat se ghabra ke pee gaya duniya-e-haadsaat hai ik dardnaak geet duniya-e-haadsaat se ghabra ke pee gaya kaañte to KHair kaañte hain is ka gilaa hi kya phoolon ki waardaat se ghabra ke pee gaya saaghar vo kah rahe the ki pee leejie huzoor un ki guzaarishaat se ghabra ke pee gaya
Saghar Siddiqui
3 likes
ai dil-e-be-qaraar chup ho ja ja chuki hai bahaar chup ho ja ab na aayenge roothne waale deeda-e-ashk-baar chup ho ja ja chuka kaarvaan-lala-o-gul ud raha hai ghubaar chup ho ja chhoot jaati hai phool se khushboo rooth jaate hain yaar chup ho ja ham faqeeron ka is zamaane men kaun hai gham-gusaar chup ho ja haadson ki na aankh khul jaa.e hasrat-e-sogvaar chup ho ja geet ki zarb se bhi ai saaghar toot jaate hain taar chup ho ja
Saghar Siddiqui
4 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Saghar Siddiqui.
Similar Moods
More moods that pair well with Saghar Siddiqui's ghazal.







