mazaq-e-ghham se nikhrega shuur-e-karvan kab tak asir-e-rahbari dhundenge qadmon ke nishan kab tak zara zakhmon pe dil ke aur thodi si namak-pashi nikharta hi nahin dekhen ye husn-e-gulsitan kab tak khudi ko bech kar sajda koi sajda nahin hota jabin-e-shauq se kah do talash-e-astan kab tak mire afkar men balidgi hai husn-e-qismat kab tere honton pe ai shair hadis-e-dil-baran kab tak numud-e-subh se pahle sar-e-manzil pahunchna hai dhundlakon se ye ghabrahat amir-e-karvan kab tak kafan bandhe hue sar se shuur-e-zindagi ubhra tiri nazron men saaqi gardish-e-ratl-e-garan kab tak zamana karvaten leta hai taamiri iradon se na jaane teri ankhon men rahe khvab-e-giran kab tak asiron ka taalluq kya bahar-e-sahn-e-gulshan se qafas men aaegi jaane bahar-e-javedan kab tak khudi se kaam le taqdir shayad kaam aa jaae hujum-e-ghham men 'faiq' shorish-e-ah-o-fughhan kab tak mazaq-e-gham se nikhrega shuur-e-karwan kab tak asir-e-rahbari dhundenge qadmon ke nishan kab tak zara zakhmon pe dil ke aur thodi si namak-pashi nikharta hi nahin dekhen ye husn-e-gulsitan kab tak khudi ko bech kar sajda koi sajda nahin hota jabin-e-shauq se kah do talash-e-astan kab tak mere afkar mein baalidgi hai husn-e-qismat kab tere honton pe ai shair hadis-e-dil-baran kab tak numud-e-subh se pahle sar-e-manzil pahunchna hai dhundlakon se ye ghabrahat amir-e-karwan kab tak kafan bandhe hue sar se shuur-e-zindagi ubhra teri nazron mein saqi gardish-e-ratl-e-garan kab tak zamana karwaten leta hai tamiri iradon se na jaane teri aankhon mein rahe khwab-e-giran kab tak asiron ka talluq kya bahaar-e-sahn-e-gulshan se qafas mein aaegi jaane bahaar-e-jawedan kab tak khudi se kaam le taqdir shayad kaam aa jae hujum-e-gham mein 'faiq' shorish-e-ah-o-fughan kab tak
Related Ghazal
seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi
Jaun Elia
77 likes
har andhera raushni men lag gaya jis..ko dekho shayari men lag gaya hamko mar jaane ki fursat kab mili vaqt saara zindagi men lag gaya apna maikhaana banaa sakte the ham itnaa paisa maikashi men lag gaya KHud se itni door ja nikle the ham ik zamaana waapsi men lag gaya
Mehshar Afridi
53 likes
kabhi milenge to ye karz bhi utaarenge tumhaare chehre ko paharon talak nihaarenge ye kya sitam ki khilaadi badal diya usne ham is umeed pe baithe the ham hi haarenge hamaare baad tere ishq men naye ladke badan to choomenge zulfen nahin sanvaarenge
Vikram Gaur Vairagi
70 likes
usne do chaar kar diya mujh...ko zehni beemaar kar diya mujh...ko kyuuñ nahin dastaras men tu mere kyuuñ talabgaar kar diya mujh...ko kabhi patthar kabhi KHuda usne chaaha jo yaar kar diya mujh...ko usse koi sawaal mat karna usne inkaar kar diya mujh...ko ek insaan hi to maanga tha us..ko bhi maar kar diya mujh...ko
Himanshi babra KATIB
51 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Salahuddin Faiq Burhanpuri.
Similar Moods
More moods that pair well with Salahuddin Faiq Burhanpuri's ghazal.







