ghazalKuch Alfaaz

mahfilein KHvaab hui rah ga.e tanhaa chehre vaqt ne cheen li.e kitne shanaasa chehre saari duniya ke li.e ek tamasha chehre dil to parde men rahe ho ga.e rusva chehre tum vo bedard ki mud kar bhi na dekha un ko warna karte rahe kya kya na taqaza chehre kitne haathon ne taraashe ye haseen taaj-mahal jhaankte hain dar-o-deewar se kya kya chehre soye patton ki tarah jaagti kaliyon ki tarah KHaak men gum to kabhi KHaak se paida chehre KHud hi veeraani-e-dil KHud hi charaagh-e-mahfil kabhi mahroom-e-tamanna kabhi shaida chehre KHaak udti bhi rahi abr barsta bhi raha ham ne dekhe kabhi sehra kabhi darya-chehre yahii imroz bhi hangaama-e-farda bhi yahii pesh karte rahe har daur ka naqsha chehre deep jalte hi rahe taq pe armaanon ke kitnii sadiyon se hai har ghar ka ujaala chehre khatm ho jaayen jinhen dekh ke beemaari-e-dil Dhoondh kar laayein kahaan se vo maseeha chehre dastaan khatm na hogii kabhi chehron ki jameel husn-e-yoosuf to kabhi ishq-e-zulekha chehre

Related Ghazal

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen

Mehshar Afridi

173 likes

tum haqeeqat nahin ho hasrat ho jo mile KHvaab men vo daulat ho tum ho KHushboo ke KHvaab ki KHushboo aur itne hi bemuravvat ho kis tarah chhod doon tumhein jaanaan tum meri zindagi ki aadat ho kislie dekhte ho aaina tum to KHud se bhi khoobsurat ho dastaan khatm hone waali hai tum meri aakhiri muhabbat ho

Jaun Elia

315 likes

mere li.e to ishq ka vaa'da hai shayari aadha suroor tum ho to aadha hai shayari rudraaksh haath men hai to seene men om hai krishna hai meraa dil meri radha hai shayari apna to mel jol hi bas aashikon se hai darvesh ka bas ek labaada hai shayari ho aashna koi to dikhaati hai apna rang be ramziyon ke vaaste saada hai shayari tum saamne ho aur meri dastaras men ho is waqt mere dil ka iraada hai shayari bhagwaan ho KHuda ho muhabbat ho ya badan jis samt bhi chalo yahii jaada hai shayari is li.e bhi ishq hi likhta hooñ main ali meraa kisi se aakhri vaa'da hai shayari

Ali Zaryoun

70 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Jameel Malik.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Jameel Malik's ghazal.