milnaa tha ittifaq bichadna naseeb tha vo utni door ho gaya jitna qareeb tha main us ko dekhne ko tarasti hi rah gaii jis shaKHs ki hatheli pe meraa naseeb tha bastii ke saare log hi aatish-parast the ghar jal raha tha aur samundar qareeb tha mariyam kahaan talash kare apne KHoon ko har shaKHs ke gale men nishaan-e-saleeb tha dafna diya gaya mujhe chaan dii ki qabr men main jis ko chahti thii vo ladka gareeb tha
Related Ghazal
har andhera raushni men lag gaya jis..ko dekho shayari men lag gaya hamko mar jaane ki fursat kab mili vaqt saara zindagi men lag gaya apna maikhaana banaa sakte the ham itnaa paisa maikashi men lag gaya KHud se itni door ja nikle the ham ik zamaana waapsi men lag gaya
Mehshar Afridi
53 likes
zindagi ik film hai milnaa bichadna seen hain aankh ke aañsu tire kirdaar ki tauheen hain ek hi mausam vahii manzar khatkane lagta hai sach ye hai ham aadatan badlaav ke shauqeen hain neend men palkon se mirii rang chalke raat bhar aankh men hain titliyan to KHvaab bhi rangeen hain raah takti raat ka ye rang hai tere bina chaand bhi mayus hai taare bhi sab ghamgeen hain ungliyon pe gin mirii tanhaaiyon ke hamsafar ik udaasi jaam dooja yaad teri teen hain qaayede se kab jiya hai zindagi maine tujhe main tira mujrim hooñ mere jurm to sangeen hain khushnuma maahol tha kal tak thirakte the sabhi aaj aaKHir kya hua hai log kyuuñ ghamgeen hain
Sandeep Thakur
18 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
ik din zabaan sukoot ki poori banaoonga main guftugoo ko ghair-zaroori banaoonga tasveer men banaoonga dono ke haath aur dono men ek haath ki doori banaoonga muddat samet jumla zawaabit hon tay-shuda ya'ni ta'alluqaat uboori banaoonga tujh ko khabar na hogii ki main aas-paas hooñ is baar haaziri ko huzoori banaoonga rangon pe ikhtiyaar agar mil sakaa kabhi teri siyaah putliyaan bhuri banaoonga jaarii hai apni zaat pe tahqeeq aaj-kal main bhi khala pe ek theory banaoonga main chaah kar vo shakl mukammal na kar sakaus ko bhi lag raha tha adhuri banaoonga
Umair Najmi
20 likes
tootne par koi aa.e to phir aisa toote ki jise dekh ke har dekhne vaala toote apne bikhre hue tukdon ko samete kab tak ek insaan ki khaatir koi kitna toote koi tukda teri aankhoñ men na chubh jaa.e kahii door ho ja ki mere KHvaab ka sheesha toote main kisi aur ko sochun to mujhe hosh aa.e main kisi aur ko dekhooñ to ye nashsha toote ranj hota hai to aisa ki bat aa.e na bane jab kisi apne ke bais koi apna toote paas baithe hue yaaron ko khabar tak na hui ham kisi baat pe is darja anokha toote itni jal dii to sambhalne ki tavakko na karo vaqt hi kitna hua hai meraa sapna toote daad ki bheek na maang ai mere achchhe shaayar ja tujhe meri dua hai teraa kaasa toote tu use kis ke bharose pe nahin kaat rahi charkh ko dekhne waali teraa charkha toote warna kab tak li.e firta rahoon us ko javvaad koi soorat ho ki ummeed se rishta toote
Jawwad Sheikh
31 likes
More from Anjum Rehbar
tum ko bhula rahi thii ki tum yaad aa ga.e main zahar kha rahi thii ki tum yaad aa ga.e kal meri ek pyaari saheli kitaab men ik khat chhupa rahi thii ki tum yaad aa ga.e us vaqt raat-raani mire soone sahan men KHushboo luta rahi thii ki tum yaad aa ga.e eimaan jaaniye ki ise kufr jaaniye main sar jhuka rahi thii ki tum yaad aa ga.e kal shaam chat pe meer-taqi-'meer' ki ghazal main gunguna rahi thii ki tum yaad aa ga.e anjum tumhaara shahar jidhar hai usii taraf ik rail ja rahi thii ki tum yaad aa ga.e
Anjum Rehbar
15 likes
jin ke aangan men ameeri ka shajar lagta hai un ka har aib zamaane ko hunar lagta hai chaand taare mire qadmon men biche jaate hain ye buzurgon ki duaon ka asar lagta hai maa mujhe dekh ke naaraz na ho jaa.e kahii sar pe aanchal nahin hota hai to dar lagta hai
Anjum Rehbar
17 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Anjum Rehbar.
Similar Moods
More moods that pair well with Anjum Rehbar's ghazal.







