ghazalKuch Alfaaz

mire tarane mire saaz ka ta'aqub hai ye nasl-e-nau ki hi avaz ka ta'aqub hai pata nahin tha vo avaz meri apni thi aur 'arse se usi avaz ka ta'aqub hai farishte bhi miri takhliq ke mukhalif the hamesha se mire aghhaz ka ta'aqub hai mire junun-e-musalsal ki fikr mat karna abhi tiri nigah-e-naz ka ta'aqub hai abhi to mahzar-e-hu ki bhi justuju na hui abhi se dida-e-ghhammaz ka ta'aqub hai jo pak-daman-o-'isyan sarisht hain barham ye husn-e-tafraqa-pardaz ka ta'aqub hai hai guftagu-e-man-o-tu ka ik tajassus bhi kahin ishara-e-ham-raz ka ta'aqub hai paron ko todte jaate hain jo sabhi taair isi men hasrat-e-parvaz ka ta'aqub hai na ho saki hai kisi se bhi naz-bardari suna hai anjuman-e-naz ka ta'aqub hai mere tarane mere saz ka ta'aqub hai ye nasl-e-nau ki hi aawaz ka ta'aqub hai pata nahin tha wo aawaz meri apni thi aur 'arse se usi aawaz ka ta'aqub hai farishte bhi meri takhliq ke mukhalif the hamesha se mere aaghaz ka ta'aqub hai mere junun-e-musalsal ki fikr mat karna abhi teri nigah-e-naz ka ta'aqub hai abhi to mahzar-e-hu ki bhi justuju na hui abhi se dida-e-ghammaz ka ta'aqub hai jo pak-daman-o-'isyan sarisht hain barham ye husn-e-tafraqa-pardaz ka ta'aqub hai hai guftagu-e-man-o-tu ka ek tajassus bhi kahin ishaara-e-ham-raaz ka ta'aqub hai paron ko todte jate hain jo sabhi tair isi mein hasrat-e-parwaz ka ta'aqub hai na ho saki hai kisi se bhi naz-bardari suna hai anjuman-e-naz ka ta'aqub hai

Related Ghazal

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen

Ahmad Faraz

130 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Saani Araryavi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Saani Araryavi's ghazal.