ghazalKuch Alfaaz

mujh ko ye fikr kab hai ki saaya kahaan gaya suraj ko ro raha hooñ khudaaya kahaan gaya phir aaine men KHoon dikhaai diya mujhe aankhoñ men aa gaya to chhupaaya kahaan gaya awaaz de raha tha koi mujh ko KHvaab men lekin khabar nahin ki bulaayaa kahaan gaya kitne charaaghh ghar men jalaae ga.e na pooch ghar aap jal gaya hai jalaya kahaan gaya ye bhi khabar nahin hai ki hamraah kaun hai poocha kahaan gaya hai bataaya kahaan gaya vo bhi badal gaya hai mujhe chhodne ke baad mujh se bhi apne aap men aaya kahaan gaya tujh ko ganwa diya hai magar apne aap ko barbaad kar diya hai ganwaaya kahaan gaya

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen

Mehshar Afridi

173 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

More from Faisal Ajmi

ye bhi nahin ki dast-e-dua tak nahin gaya meraa sawaal khalk-e-khuda tak nahin gaya phir yuñ hua ki haath se kashkol gir pada khairaat le ke mujh se chala tak nahin gaya masloob ho raha tha magar hañs raha tha main aankhoñ men ashk le ke KHuda tak nahin gaya jo barf gir rahi thii mire sar ke aas-paas kya likh rahi thii mujh se padha tak nahin gaya faisal mukaalima tha hawaon ka phool se vo shor tha ki mujh se suna tak nahin gaya

Faisal Ajmi

0 likes

harf apne hi maani ki tarah hota hai pyaas ka zaaika paani ki tarah hota hai main bhi rukta hooñ magar reg-e-ravaan ki soorat meraa thehraav ravaani ki tarah hota hai tere jaate hi main shiknon se na bhar jaaun kahii kyun juda mujh se jawaani ki tarah hota hai jism thakta nahin chalne se ki vehshat ka safar KHvaab men naql-e-makaani ki tarah hota hai chaand dhalta hai to us ka bhi mujhe dukh faisal kisi gum-gashta nishaani ki tarah hota hai

Faisal Ajmi

0 likes

teri aañkhen na raheen aaina-khaana mire dost kitnii tezi se badalta hai zamaana mire dost jaane kis kaam men masroof raha barson tak yaad aaya hi nahin tujh ko bhulaana mire dost poochna mat ki ye kya haal banaa rakha hai aaina ban ke mira dil na dukhaana mire dost is mulaqaat men jo ghair-zaroori ho jaa.e yaad rehta hai kise haath milaana mire dost dekhna mujh ko magar meri paziraai ko apni aankhoñ men sitaare na sajaana mire dost ab vo titli hai na vo umr ta'aqub waali main na kahtaa tha bahut door na jaana mare dost hijr taqdeer men likkha tha ki majboori thii chhod is baat se kya milnaa milaana mire dost tu ne ehsaan kiya apna banaa kar mujh ko warna main kya tha haqeeqat na fasana mire dost is kahaanii men kise kaun kahaan chhod gaya yaad aa jaa.e to mujh ko bhi bataana mire dost chhod aaya hooñ hawaon ki nigahbaani men vo samundar vo jazeera vo khazana mire dost aise raston pe jo aapas men kahii milte hon kyun na us mod se ho jaayen ravana mire dost

Faisal Ajmi

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Faisal Ajmi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Faisal Ajmi's ghazal.