muqable to ghhalat-fahmiyan badhate hain ye valvale to ghhalat-fahmiyan badhate hain qarib aao to shayad samajh men aa jaae ki fasle to ghhalat-fahmiyan badhate hain hai mere saath mire dushmanon se rabt unhen ye silsile to ghhalat-fahmiyan badhate hain agar hai koi shikayat to mil ke baat karo murasile to ghhalat-fahmiyan badhate hain kisi ne qatl kiya aur saza kisi ko mili ye faisle to ghhalat-fahmiyan badhate hain jo rahzanon ka taavun qubul karte hain vo qafile to ghhalat-fahmiyan badhate hain tanazeat men behtar hai sulh kar lena nae gile to ghhalat-fahmiyan badhate hain ye laghhzishon ka tasalsul ye mazarat paiham ye marhale to ghhalat-fahmiyan badhate hain charaghh-e-haq hain to khamosh kyuun hain vo 'razmi' bina jale to ghhalat-fahmiyan badhate hain muqable to ghalat-fahmiyan badhate hain ye walwale to ghalat-fahmiyan badhate hain qarib aao to shayad samajh mein aa jae ki fasle to ghalat-fahmiyan badhate hain hai mere sath mere dushmanon se rabt unhen ye silsile to ghalat-fahmiyan badhate hain agar hai koi shikayat to mil ke baat karo murasile to ghalat-fahmiyan badhate hain kisi ne qatl kiya aur saza kisi ko mili ye faisle to ghalat-fahmiyan badhate hain jo rahzanon ka taawun qubul karte hain wo qafile to ghalat-fahmiyan badhate hain tanazeat mein behtar hai sulh kar lena nae gile to ghalat-fahmiyan badhate hain ye laghzishon ka tasalsul ye mazarat paiham ye marhale to ghalat-fahmiyan badhate hain charagh-e-haq hain to khamosh kyun hain wo 'razmi' bina jale to ghalat-fahmiyan badhate hain
Related Ghazal
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
apni aankhoñ men bhar kar le jaane hain mujh...ko uske aansoo kaam men laane hai dekho ham koi vehshi nahin deewane hain tumse button khulwane nahin lagwane hai ham tum ek dooje ki seedhi hai jaana baaki duniya to saanpon ke khaane hain paakiza cheezon ko paakiza likho mat likho uski aañkhen maykhaane hain
Varun Anand
63 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
maine chaaha to nahin tha ki kabhi aisa ho lekin ab thaan chuke ho to chalo achha ho tum se naaraz to main aur kisi baat pe hooñ tum magar aur kisi wajah se sharminda ho ab kahii ja ke ye maaloom hua hai mujh...ko theek rah jaata hai jo shaKHs tere jaisa ho aise haalaat men ho bhi koi hassaas to kya aur be-his bhi agar ho to koi kitna ho taaki tu samjhe ki mardon ke bhi dukh hote hain maine chaaha bhi yahii tha ki teraa beta ho
Jawwad Sheikh
50 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Muzaffar Razmi.
Similar Moods
More moods that pair well with Muzaffar Razmi's ghazal.







