mustaqil mahrumiyon par bhi to dil maana nahin laakh samjhaya ki is mahfil men ab jaana nahin khud-farebi hi sahi kya kijiye dil ka ilaaj tu nazar phere to ham samjhen ki pahchana nahin ek duniya muntazir hai aur teri bazm men is tarah baithe hain ham jaise kahin jaana nahin ji men jo aati hai kar guzro kahin aisa na ho kal pasheman hon ki kyuun dil ka kaha maana nahin zindagi par is se badh kar tanz kya hoga 'faraz' us ka ye kahna ki tu shaer hai divana nahin mustaqil mahrumiyon par bhi to dil mana nahin lakh samjhaya ki is mahfil mein ab jaana nahin khud-farebi hi sahi kya kijiye dil ka ilaj tu nazar phere to hum samjhen ki pahchana nahin ek duniya muntazir hai aur teri bazm mein is tarah baithe hain hum jaise kahin jaana nahin ji mein jo aati hai kar guzro kahin aisa na ho kal pasheman hon ki kyun dil ka kaha mana nahin zindagi par is se badh kar tanz kya hoga 'faraaz' us ka ye kahna ki tu shaer hai diwana nahin
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar
Anwar Shaoor
95 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
More from Ahmad Faraz
kya aise kam-sukhan se koi guftugoo kare jo mustaqil sukoot se dil ko lahu kare ab to ha men bhi tark-e-maraasim ka dukh nahin par dil ye chahta hai ki aaghaaz tu kare tere baghair bhi to ghaneemat hai zindagi KHud ko ganwa ke kaun tiri justuju kare ab to ye aarzoo hai ki vo zakham khaaiye ta-zindagi ye dil na koi aarzoo kare tujh ko bhula ke dil hai vo sharminda-e-nazar ab koi haadsa hi tire roo-b-roo kare chup-chaap apni aag men jalte raho faraaz duniya to arz-e-haal se be-aabroo kare
Ahmad Faraz
8 likes
phir usii rahguzar par shaayad ham kabhi mil saken magar shaayad jin ke ham muntazir rahe un ko mil ga.e aur hum-safar shaayad jaan-pahchaan se bhi kya hogaa phir bhi ai dost ghaur kar shaayad ajnabbiyyat ki dhundh chhat jaa.e chamak utthe tiri nazar shaayad zindagi bhar lahu rulaayegi yaad-e-yaaraan-e-be-khabar shaayad jo bhi bichhde vo kab mile hain faraaz phir bhi tu intizaar kar shaayad
Ahmad Faraz
4 likes
jo gair the vo isee baat par hamaare hue ki ham se dost bahut be-KHabar hamaare hue kise khabar vo mohabbat thii ya raqabat thii bahut se log tujhe dekh kar hamaare hue ab ik hujoom-e-shikasta-dilaan hai saath apne jinhen koi na mila hum-safar hamaare hue kisi ne gham to kisi ne mizaaj-e-gham bakhsha sab apni apni jagah chaaragar hamaare hue bujha ke taq ki shamein na dekh taaron ko isee junoon men to barbaad ghar hamaare hue vo e'timaad kahaan se faraaz laayenge kisi ko chhod ke vo ab agar hamaare hue
Ahmad Faraz
9 likes
us ko juda hue bhi zamaana bahut hua ab kya kahein ye qissa puraana bahut hua ham khuld se nikal to ga.e hain par ai KHuda itne se waqie ka fasana bahut hua ab ham hain aur saare zamaane ki dushmanius se zaraa sa rabt badhaana bahut hua ab kyoon zindagi pe mohabbat ko vaar den is aashiqi men jaan se jaana bahut hua ab tak to dil ka dil se ta'aruf na ho sakaa maana ki us se milnaa milaana bahut hua kya kya na ham KHaraab hue hain magar ye dil ai yaad-e-yaar teraa thikaana bahut hua kahtaa tha naasehon se mire munh na aaiyo phir kya tha ek huu ka bahaana bahut hua lo phir tire labon pe usii be-vafa ka zikr ahmad-'faraz tujh se kaha na bahut hua
Ahmad Faraz
8 likes
dil badan ka shareek-e-haal kahaan hijr phir hijr hai visaal kahaan ishq hai naam intihaaon ka is samundar men etidaal kahaan aisa nashaato zahar men bhi na tha ai gham-e-dil tiri misaal kahaan ham ko bhi apni paayemaali ka hai magar is qadar malaal kaha main nayi dosti ke mod pe tha aa gaya hai tira khayal kaha dil ki khush-fahm tha so hai warna tere milne ka ehtimaal kahaan vasl o hijraanhain aur duniyaayein in zamaanon men maah-o-saal kahaan tujh ko dekha to log hairaanhain aa gaya shahar men ghazaal kahaan tujh pe likkhi to saj gaii hai ghazal aa mila KHvaab se khayal kahaan ab to shah maat ho rahi hai faraaz ab bachaav ki koi chaal kahaan
Ahmad Faraz
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ahmad Faraz.
Similar Moods
More moods that pair well with Ahmad Faraz's ghazal.







