na ji bhar ke dekha na kuchh baat ki badi aarzu thi mulaqat ki ujalon ki pariyan nahane lagin nadi gungunai khayalat ki main chup tha to chalti hava ruk gai zaban sab samajhte hain jazbat ki muqaddar miri chashm-e-pur-ab ka barasti hui raat barsat ki kai saal se kuchh khabar hi nahin kahan din guzara kahan raat ki na ji bhar ke dekha na kuchh baat ki badi aarzu thi mulaqat ki ujalon ki pariyan nahane lagin nadi gungunai khayalat ki main chup tha to chalti hawa ruk gai zaban sab samajhte hain jazbaat ki muqaddar meri chashm-e-pur-ab ka barasti hui raat barsat ki kai sal se kuchh khabar hi nahin kahan din guzara kahan raat ki
Related Ghazal
tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban
Varun Anand
81 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
More from Bashir Badr
falak se chaand sitaaron se jaam lena hai mujhe sehar se nayi ek shaam lena hai kise khabar ki farishte ghazal samjhte hain KHuda ke saamne kaafir ka naam lena hai mua'amla hai tira badtareen dushman se mire aziz mohabbat se kaam lena hai mehkati zulfon se KHushboo chamakti aankh se dhoop shabon se jaam-e-sehr ka salaam lena hai tumhaari chaal ki aahistagi ke lehje men sukhun se dil ko masalne ka kaam lena hai nahin main meer ke dar par kabhi nahin jaata mujhe KHuda se ghazal ka kalaam lena hai bade saleeqe se noton men us ko tulwa kar ameer-e-shahr se ab intiqaam lena hai
Bashir Badr
1 likes
mirii nazar men KHaak tere aaine pe gard hai ye chaand kitna zard hai ye raat kitnii sard hai kabhi kabhi to yuñ laga ki ham sabhi masheen hain tamaam shahar men na koi zan na koi mard hai KHuda ki nazmon ki kitaab saari kaayenaat hai ghazal ke she'r ki tarah har ek fard fard hai hayaat aaj bhi kaneez hai huzoor-e-jabr men jo zindagi ko jeet le vo zindagi ka mard hai ise tabarruk-e-hayaat kah ke palkon par rakhoon agar mujhe yaqeen ho ye raaste ki gard hai vo jin ke zikr se ragon men daudti theen bijliyaan unhin ka haath ham ne choo ke dekha kitna sard hai
Bashir Badr
2 likes
kisi ki yaad men palken zaraa bhigo lete udaas raat ki tanhaaiyon men ro lete dukhon ka bojh akelaa nahin sambhalta hai kahii vo milta to us se lipt ke ro lete agar safar men hamaara bhi hum-safar hota badi khushi se unhi pattharon pe so lete tumhaari raah men shaakhon pe phool sookh ga.e kabhi hawa ki tarah is taraf bhi ho lete ye kya ki roz vahii chaandni ka bistar ho kabhi to dhoop ki chadar bichha ke so lete
Bashir Badr
13 likes
vo chaandni ka badan khushbuon ka saaya hai bahut aziz ha men hai magar paraaya hai utar bhi aao kabhi aasmaañ ke zeene se tumhein KHuda ne hamaare li.e banaya hai kahaan se aayi ye KHushboo ye ghar ki KHushboo hai is ajnabi ke andhere men kaun aaya hai mahak rahi hai zameen chaandni ke phoolon se KHuda kisi ki mohabbat pe muskuraya hai use kisi ki mohabbat ka e'tibaar nahin use zamaane ne shaayad bahut sataaya hai tamaam umr mira dil usii dhuen men ghuta vo ik charaaghh tha main ne use bujhaaya hai
Bashir Badr
5 likes
agar yaqeen nahin aata to aazm aa.e mujhe vo aaina hai to phir aaina dikh aa.e mujhe ajab charaaghh hooñ din raat jalta rehta hooñ main thak gaya hooñ hawa se kaho buj aa.e mujhe main jis ki aankh ka aañsu tha us ne qadr na ki bikhar gaya hooñ to ab ret se uth aa.e mujhe bahut dinon se main in pattharon men patthar hooñ koi to aa.e zaraa der ko rul aa.e mujhe main chahta hooñ ki tum hi mujhe ijaazat do tumhaari tarah se koi gale lag aa.e mujhe
Bashir Badr
9 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Bashir Badr.
Similar Moods
More moods that pair well with Bashir Badr's ghazal.







