na kisi ki aankh ka nuur huun na kisi ke dil ka qarar huun kisi kaam men jo na aa sake main vo ek musht-e-ghhubar huun i'm not the light of any eye, for me none has a care no use to anyone am i, dust merely scattered there na dava-e-dard-e-jigar huun main na kisi ki mithi nazar huun main na idhar huun main na udhar huun main na shakeb huun na qarar huun i'm no song of blithe intent,why should ears be lent i am a pain-laden lament, i'm just a plaintive prayer mira vaqt mujh se bichhad gaya mira rang-rup bigad gaya jo khizan se baaghh ujad gaya main usi ki fasl-e-bahar huun my face is truly ugly, scarred, from love i have been barred the product of a garden marred, in midst of bloom laid bare pae fatiha koi aae kyuun koi chaar phuul chadhae kyuun koi aa ke sham' jalae kyuun main vo bekasi ka mazar huun why should people come and mourn, with flowers why adorn incense too why should they burn, at a tomb of deep despair na main laag huun na lagav huun na suhag huun na subhav huun jo bigad gaya vo banav huun jo nahin raha vo singar huun --- --- main nahin huun naghhma-e-jan-faza mujhe sun ke koi karega kya main bade birog ki huun sada main bade dukhi ki pukar huun na main 'muztar' un ka habib huun na main 'muztar' un ka raqib huun jo bigad gaya vo nasib huun jo ujad gaya vo dayar huun na kisi ki aankh ka nur hun na kisi ke dil ka qarar hun kisi kaam mein jo na aa sake main wo ek musht-e-ghubar hun i'm not the light of any eye, for me none has a care no use to anyone am i, dust merely scattered there na dawa-e-dard-e-jigar hun main na kisi ki mithi nazar hun main na idhar hun main na udhar hun main na shakeb hun na qarar hun i'm no song of blithe intent,why should ears be lent i am a pain-laden lament, i'm just a plaintive prayer mera waqt mujh se bichhad gaya mera rang-rup bigad gaya jo khizan se bagh ujad gaya main usi ki fasl-e-bahaar hun my face is truly ugly, scarred, from love i have been barred the product of a garden marred, in midst of bloom laid bare pae fatiha koi aae kyun koi chaar phul chadhae kyun koi aa ke sham' jalae kyun main wo bekasi ka mazar hun why should people come and mourn, with flowers why adorn incense too why should they burn, at a tomb of deep despair na main lag hun na lagaw hun na suhag hun na subhaw hun jo bigad gaya wo banaw hun jo nahin raha wo singar hun --- --- main nahin hun naghma-e-jaan-faza mujhe sun ke koi karega kya main bade birog ki hun sada main bade dukhi ki pukar hun na main 'muztar' un ka habib hun na main 'muztar' un ka raqib hun jo bigad gaya wo nasib hun jo ujad gaya wo dayar hun
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai
Waseem Barelvi
107 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Muztar Khairabadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Muztar Khairabadi's ghazal.







