ghazalKuch Alfaaz

nazar badal ke hamari janib jab us ne dekha to log samjhe mohabbaton ka hasin rishta jo pal men tuuta to log samjhe jahalaton ka dil-o-nazar se ghhubar utra to log samjhe ki hain qayamat ke ye nazare zamir jaaga to log samjhe samajh rahe the ki main samundar ki tez maujon men bah raha huun ki sath-e-sahil pe der tak bhi jo main na ubhra to log samjhe kisi ko pahle khabar nahin thi ki rishta kaisa hai mera us se vo mere pahlu men jab achanak hi aa ke baitha to log samjhe kahan pata tha kisi ko kuchh bhi ki kaisa kirdar hai hamara jab apne andar ki khamiyon ko hamin ne samjha to log samjhe samajh na paaya koi bhi 'najmi' jo baat narmi se ki hai main ne buland avaz apni kar ke main jab bhi bola to log samjhe nazar badal ke hamari jaanib jab us ne dekha to log samjhe mohabbaton ka hasin rishta jo pal mein tuta to log samjhe jahaalaton ka dil-o-nazar se ghubar utra to log samjhe ki hain qayamat ke ye nazare zamir jaga to log samjhe samajh rahe the ki main samundar ki tez maujon mein bah raha hun ki sath-e-sahil pe der tak bhi jo main na ubhra to log samjhe kisi ko pahle khabar nahin thi ki rishta kaisa hai mera us se wo mere pahlu mein jab achanak hi aa ke baitha to log samjhe kahan pata tha kisi ko kuchh bhi ki kaisa kirdar hai hamara jab apne andar ki khamiyon ko hamin ne samjha to log samjhe samajh na paya koi bhi 'najmi' jo baat narmi se ki hai main ne buland aawaz apni kar ke main jab bhi bola to log samjhe

Related Ghazal

thoda likkha aur ziyaada chhod diya aane waalon ke li.e rastaa chhod diya tum kya jaano us dariyaa par kya guzri tumne to bas paani bharna chhod diya ladkiyaan ishq men kitnii paagal hoti hain phone baja aur choolha jalta chhod diya roz ik patta mujh men aa girta hai jab se maine jungle jaana chhod diya bas kaanon par haath rakhe the thodii der aur phir us aawaaz ne peecha chhod diye

Tehzeeb Hafi

262 likes

khaali baithe ho to ik kaam meraa kar do naa mujh ko achha sa koii zaKHm ada kar do naa dhyaan se panchiyo ko dete ho daana paani itne achchhe ho to pinjare se rihaa kar do naa jab qareeb aa hi ga.e ho to udaasi kaisi jab diya de hi rahe ho to jala kar do naa

Zubair Ali Tabish

102 likes

kisi libaas ki khushboo jab ud ke aati hai tere badan ki judaai bahut sataati hai tere gulaab tarsate hain teri khushboo ko teri safed chameli tujhe bulaati hai tere baghair mujhe chain kaise padta hain mere bagair tujhe neend kaise aati hai

Jaun Elia

113 likes

ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e

Yasir Khan

92 likes

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Naeem Najmi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Naeem Najmi's ghazal.