ghazalKuch Alfaaz

nazar jo koi bhi tujh sa hasin nahin aata kisi ko kya mujhe khud bhi yaqin nahin aata tira khayal bhi teri tarah sitamgar hai jahan pe chahiye aana vahin nahin aata jo hone vaala hai ab us ki fikr kya kiije jo ho chuka hai usi par yaqin nahin aata ye mera dil hai ki manzar ujaad basti ka khule hue hain sabhi dar makin nahin aata bichhadna hai to bichhad ja isi do-rahe par ki mod aage safar men kahin nahin aata nazar jo koi bhi tujh sa hasin nahin aata kisi ko kya mujhe khud bhi yaqin nahin aata tera khayal bhi teri tarah sitamgar hai jahan pe chahiye aana wahin nahin aata jo hone wala hai ab us ki fikr kya kije jo ho chuka hai usi par yaqin nahin aata ye mera dil hai ki manzar ujad basti ka khule hue hain sabhi dar makin nahin aata bichhadna hai to bichhad ja isi do-rahe par ki mod aage safar mein kahin nahin aata

Related Ghazal

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Shahryar.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Shahryar's ghazal.