ghazalKuch Alfaaz

u thii nigaah to apne hi roo-b-roo ham the zameen aaina-khaana thii chaar-soo ham the dinon ke baa'd achaanak tumhaara dhyaan aaya KHuda ka shukr ki us vaqt ba-wazoo ham the vo aaina to nahin tha par aaiine sa tha vo ham nahin the magar yaar hoo-b-hoo ham the zameen pe ladte hue aasmaañ ke narghe men kabhi kabhi koi dushman kabhu kabhu ham the hamaara zikr bhi ab jurm ho gaya hai vahaañ dinon ki baat hai mehfil ki aabroo ham the khayal tha ki ye pathraav rok den chal kar jo hosh aaya to dekha lahu lahu ham the

Related Ghazal

chal diye fer kar nazar tum bhi gair to gair the magar tum bhi ye gali mere dilruba ki hai doston khairiyat idhar tum bhi mujhpe logon ke saath hanste ho log roenge khaas kar tum bhi mujh...ko thukra diya hai duniya ne main to mar jaaunga agar tum bhi uski gaadi to ja chuki taabish ab utho jaao apne ghar tum bhi

Zubair Ali Tabish

58 likes

phir mirii yaad aa rahi hogii phir vo deepak bujha rahi hogii phir mire facebook pe aa kar vo KHud ko banner banaa rahi hogii apne bete ka choom kar maatha mujh ko teeka laga rahi hogii phir usii ne use chhua hogaa phir usii se nibha rahi hogii jism chadar sa bich gaya hogaa rooh silvat hata rahi hogii phir se ik raat kat gaii hogii phir se ik raat aa rahi hogii

Kumar Vishwas

53 likes

jo bhi izzat ke dar se dar jaa.e mat kare ishq apne ghar jaa.e baat aa jaa.e jab duao par isse behtar hai banda mar jaa.e thodii si aur der saamne rah meri aankhoñ ka pet bhar jaa.e al muhaimin ke ghar bhi khatre hai jaa.e bhi to koi kidhar jaa.e haan aqeeda agar na kaid rakhe phir to insaan kuchh bhi kar jaa.e bebaasi ki ye aakhiri had hai meri aulaad aap par jaa.e uske chehre par aaj udaasi thii haay afkaar alvee mar jaa.e

Afkar Alvi

38 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

tumhaara kya hai tumhein sirf gyaan dena hai hamaari socho ha men imtihaan dena hai gulaab bhi hain gulaabon men khaar bhi hain bataa nishaani deni hai ya phir nishaan dena hai teraa sawaal meri jaan ka sawaal hai aur javaab dene se aasaan jaan dena hai unhonne apne mutaabiq saza suna dii hai ha men saza ke mutaabiq bayaan dena hai ye bezubaanon ki mehfil hai dost yaad rahe yahaañ KHamoshii ka matlab zubaan dena hai

Charagh Sharma

39 likes

More from Rahat Indori

mere ashkon ne kaii aankhoñ men jal-thal kar diya ek paagal ne bahut logon ko paagal kar diya apni palkon par saja kar mere aañsu aap ne raaste ki dhool ko aankhoñ ka kaajal kar diya main ne dil de kar use ki thii vafaa ki ibtidaus ne dhoka de ke ye qissa mukammal kar diya ye hawaaein kab nigaahen fer len kis ko khabar shohraton ka takht jab toota to paidal kar diya devataaon aur khudaaon ki lagaaee aag ne dekhte hi dekhte bastii ko jungle kar diya zakham ki soorat nazar aate hain chehron ke nuqoosh ham ne aainon ko tahzeebon ka maqtal kar diya shahar men charcha hai aaKHir aisi ladki kaun hai jis ne achhe-khaase ik sha'ir ko paagal kar diya

Rahat Indori

8 likes

yuñ sadaa dete hue tere khayal aate hain jaise ka'be ki khulii chat pe bilaal aate hain roz ham ashkon se dho aate hain deewar-e-haram pagadiyaan roz farishton ki uchaal aate hain haath abhii peeche bandhe rahte hain chup rahte hain dekhna ye hai tujhe kitne kamaal aate hain chaand suraj mirii chaukhat pe kaii sadiyon se roz likkhe hue chehre pe sawaal aate hain be-hisi murda-dili raqs sharaaben nag men bas isee raah se qaumon pe zawaal aate hain

Rahat Indori

3 likes

vo ik ik baat pe rone laga tha samundar aabroo khone laga tha lage rahte the sab darwaaze phir bhi main aañkhen khol kar sone laga tha churaata hooñ ab aañkhen aainon se KHuda ka saamna hone laga tha vo ab aaiine dhota phir raha hai use chehre pe shak hone laga tha mujhe ab dekh kar hansati hai duniya main sab ke saamne rone laga tha

Rahat Indori

0 likes

tumhaare naam par main ne har aafat sar pe rakkhi thii nazar sholoon pe rakkhi thii zabaan patthar pe rakkhi thii hamaare KHvaab to shehron ki sadkon par bhatkte the tumhaari yaad thii jo raat bhar bistar pe rakkhi thii main apna azm le kar manzilon ki samt niklaa tha mashqat haath pe rakkhi thii qismat ghar pe rakkhi thii inheen saanson ke chakkar ne ha men vo din dikhaaye the hamaare paanv ki miTTi hamaare sar pe rakkhi thii sehar tak tum jo aa jaate to manzar dekh sakte the diye palkon pe rakhe the shikan bistar pe rakkhi thii

Rahat Indori

7 likes

mere kaarobaar men sab ne badi imdaad ki daad logon ki gala apna ghazal ustaad ki apni saansen bech kar main ne jise aabaad ki vo gali jannat to ab bhi hai magar shaddaad ki umr bhar chalte rahe aankhoñ pe patti baandh kar zindagi ko dhoondhne men zindagi barbaad ki dastaanon ke sabhi kirdaar kam hone lage aaj kaaghaz chuntee phirti hai pari baghdaad ki ik sulagta cheekhta maahol hai aur kuchh nahin baat karte ho yagaana kis ameenabad ki

Rahat Indori

18 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Rahat Indori.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Rahat Indori's ghazal.