pahlu-o-pusht-o-sina-o-rukhsar aaina hai razm-gah-e-husn ka ye chaar aaina kaf aaina bar aaina rukhsar aaina hai sar se paanv tak vo sitamgar aaina hatta nahin jo samne se us ke raat din ham se siva hai talib-e-didar aaina ye to mira raqib hai main manta nahin kyuun dekhta hai aap ko har baar aaina rukh ka hai aks dil men to rukh men hai dil ka aks hai aaine ke samne har baar aaina khalvat men us ke nuur se aalam hai tuur ka hain ab-o-tab se dar-o-divar aaina ghhash kha ke gir pade na kahin roab-e-husn se is vaste hai pusht ba-divar aaina kis men hai ab-o-tab siva dekh lijiye ik baar us ka chehra aur ik baar aaina rukh ka aur us ka ho gaya ik baar faisla achchha hua ki maan gaya haar aaina labrez hai shua-e-rukh-e-dil-faroz se le ab-e-husn-e-saghhar-e-sarshar aaina 'parvin' jahan men us ki jhapakti nahin palak hairat ka aap karta hai iqrar aaina pahlu-o-pusht-o-sina-o-rukhsar aaina hai razm-gah-e-husn ka ye chaar aaina kaf aaina bar aaina rukhsar aaina hai sar se panw tak wo sitamgar aaina hatta nahin jo samne se us ke raat din hum se siwa hai talib-e-didar aaina ye to mera raqib hai main manta nahin kyun dekhta hai aap ko har bar aaina rukh ka hai aks dil mein to rukh mein hai dil ka aks hai aaine ke samne har bar aaina khalwat mein us ke nur se aalam hai tur ka hain aab-o-tab se dar-o-diwar aaina ghash kha ke gir pade na kahin roab-e-husn se is waste hai pusht ba-diwar aaina kis mein hai aab-o-tab siwa dekh lijiye ek bar us ka chehra aur ek bar aaina rukh ka aur us ka ho gaya ek bar faisla achchha hua ki man gaya haar aaina labrez hai shua-e-rukh-e-dil-faroz se le aab-e-husn-e-saghar-e-sarshaar aaina 'parwin' jahan mein us ki jhapakti nahin palak hairat ka aap karta hai iqrar aaina
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Parveen Umm-e-Mushtaq.
Similar Moods
More moods that pair well with Parveen Umm-e-Mushtaq's ghazal.







