ghazalKuch Alfaaz

paraai neend men sone ka tajurba kar ke main KHush nahin hooñ tujhe KHud men mubtala kar ke usooli taur pe mar jaana chahiye tha magar mujhe sukoon mila hai tujhe juda kar ke ye kyun kaha ki tujhe mujh se pyaar ho jaa.e tadap utha hooñ tire haq men bad-dua kar ke main chahta hooñ khareedaar par ye khul jaa.e naya nahin hooñ rakha hooñ yahaañ naya kar ke main jootiyon men bhi baitha hooñ poore maan ke saath kisi ne mujh ko bulaayaa hai iltijaa kar ke bashar samajh ke kiya tha na yuñ nazar-andaaz le main bhi chhod raha hooñ tujhe KHuda kar ke to phir vo rote hue minnaten bhi maante hain jo intiha nahin karte hain ibtida kar ke badal chuka hai mira lams nafsiyaat us ki ki rakh diya hai use main ne an-chhuaa kar ke manaa bhi loonga gale bhi lagaauñga main ali abhii to dekh raha hooñ use KHafaa kar ke

Ali Zaryoun14 Likes

Related Ghazal

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

More from Ali Zaryoun

ada-e-ishq hooñ poori ana ke saath hooñ main KHud apne saath hooñ ya'ni KHuda ke saath hooñ main mujavaraan-e-hawas tang hain ki yuñ kaise baghair sharm-o-haya bhi haya ke saath hooñ main safar shuruat to hone de apne saath mira tu KHud kahega ye kaisi bala ke saath hooñ main main choo gaya to tira rang kaat daaloonga so apne aap se tujh ko bacha ke saath hooñ main durood-bar-dil-e-wahshi salaam-bar-tap-e-ishq KHud apni hamd KHud apni sana ke saath hooñ main yahii to farq hai mere aur un ke hal ke beech shikaayaten hain unhen aur raza ke saath hooñ main main awwaleen ki izzat men aakhireen ka noor vo intiha hooñ ki har ibtida ke saath hooñ main dikhaai doon bhi to kaise sunaai doon bhi to kyun wara-e-naqsh-o-nawa hooñ fana ke saath hooñ main b-hukm-e-yaar love kabz karne aati hai bujha rahi hai bujaaye hawa ke saath hooñ main ye saabireen-e-mohabbat ye kaashifeen-e-junoon inhi ke sang inheen auliya ke saath hooñ main kisi ke saath nahin hooñ magar jamaal-e-ilaaha tiri qism tire har mubtala ke saath hooñ main zamaane bhar ko pata hai main kis tariq pe hooñ sabhi ko ilm hai kis dil-ruba ke saath hooñ main munaafiqeen-e-tasavvuf ki maut hooñ main ali har ik aseel har ik be-riya ke saath hooñ main

Ali Zaryoun

5 likes

haalat e hijr men hooñ yaar meri samt na dekh tu na ho jaa.e girftaar meri samt na dekh aasteen men jo chhupe saanp hain unko to nikaal apne nuksaan par har baar meri samt na dekh tujhko jis baat ka khadsha hai vo ho sakti hai aise nashshe men lagaataar meri samt na dekh ya koi baat suna ya mujhe seene se laga is tarah baithkar bekar meri samt na dekh teraa yaaron se nahin jeb se yaaraana hai ai mohabbat ke dukandaar meri samt na dekh

Ali Zaryoun

7 likes

isee li.e to mujhe sunke taish aaya hai tumhaara haal kisi aur ne bataaya hai mujhe bataa meraa bhaai shaheed kaise hua tu uske saath tha tu kaise bach ke aaya hai abhii ye zakham kisi par nahin khula meraa abhii ye she'r kisi ko nahin sunaaya hai

Ali Zaryoun

16 likes

charaagahein nai aabaad hogii magar jo bastiyaan barbaad hogii KHuda miTTi ko phir se hukm dega kaii shaklein nai ijaad hogii abhii mumkin nahin lekin ye hogaa kitaaben sahib-e-aulaad hogii main un aankhoñ ko padhkar sochta hoon ye naz men kis tarah se yaad hogii ye pariyaan phir nahin aayegi milne ye ghazlein phir nahin irshaad hogii main dartaa hoon ali un aadaton se ke jo mujh...ko tumhaare baad hogii

Ali Zaryoun

21 likes

lehje men khanak baat men dam hai to karam hai gardan dar-e-haider pe jo KHam hai to karam hai mat soch ki is ghar pe karam hai to alam hai darasl tere ghar pe alam hai to karam hai bistar pe kamar theek nahin lagti to KHush ho khuraak bhi ai yaar jo kam hai to karam hai be-nisbat-o-be-ishq kahaan milti hai izzat mujh pe mere maula ka karam hai to karam hai munkir ki jalan hi men to mumin ka mazaa hai gar taa'na-o-tashnee-o-sitam hai to karam hai ab jab ke koi haal bhi kyun pooche kisi ka ik aankh mere vaaste nam hai to karam hai ab jab ke koi aankh nahin rukti kisi par jo koi jahaan jiska sanam hai to karam hai midhat ka mazaa bhi ho taghazzul ki ada bhi kuchh aisa sukhun tujhko bahm hai to karam hai akhtar se ghazal-sazon ke hote hue zaryoon thoda sa agar teraa bharam hai to karam hai

Ali Zaryoun

4 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ali Zaryoun.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ali Zaryoun's ghazal.