pareshan raat saari hai sitaro tum to so jaao sukut-e-marg taari hai sitaro tum to so jaao hanso aur hanste hanste dubte jaao khalaon men hamin pe raat bhari hai sitaro tum to so jaao hamen to aaj ki shab pau phate tak jagna hoga yahi qismat hamari hai sitaro tum to so jaao tumhen kya aaj bhi koi agar milne nahin aaya ye baazi ham ne haari hai sitaro tum to so jaao kahe jaate ho ro ro kar hamara haal duniya se ye kaisi razdari hai sitaro tum to so jaao hamen bhi niind aa jaegi ham bhi so hi jaenge abhi kuchh be-qarari hai sitaro tum to so jaao pareshan raat sari hai sitaro tum to so jao sukut-e-marg tari hai sitaro tum to so jao hanso aur hanste hanste dubte jao khalaon mein hamin pe raat bhaari hai sitaro tum to so jao hamein to aaj ki shab pau phate tak jagna hoga yahi qismat hamari hai sitaro tum to so jao tumhein kya aaj bhi koi agar milne nahin aaya ye bazi hum ne haari hai sitaro tum to so jao kahe jate ho ro ro kar hamara haal duniya se ye kaisi raazdari hai sitaro tum to so jao hamein bhi nind aa jaegi hum bhi so hi jaenge abhi kuchh be-qarari hai sitaro tum to so jao
Related Ghazal
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
More from Qateel Shifai
titliyon ka rang ho ya jhoomte baadal ka rang ham ne har ik rang ko jaana tire aanchal ka rang teri aankhoñ ki chamak hai ya sitaaron ki ziya raat ka hai ghup andhera ya tire kaajal ka rang dhadkano ke taal par vo haal apne dil ka hai jaise gori ke thirakte paanv men paayal ka rang fenkna tum soch kar lafzon ka ye karwa gulaal phail jaata hai kabhi sadiyon pe bhi ik pal ka rang aah ye rangeen mausam KHoon ki barsaat ka chha raha hai aql par jazbaat ki halchal ka rang ab to shabnam ka har ik moti hai kankar ki tarah haan usii gulshan pe chaaya tha kabhi makhmal ka rang phir rahe hain log haathon men li.e khanjar khule kooche kooche men ab aata hai nazar maqtal ka rang chaar jaanib jis ki raa'naai ke charche hain qatil jaane kab dekhenge ham us aane waali kal ka rang
Qateel Shifai
1 likes
apne honton par saj aanaa chahta hooñ aa tujhe main gungun aanaa chahta hooñ koi aañsu tere daaman par giraa kar boond ko moti ban aanaa chahta hooñ thak gaya main karte karte yaad tujh ko ab tujhe main yaad aanaa chahta hooñ chha raha hai saari bastii men andhera raushni ko ghar jalana chahta hooñ aakhri hichki tire zaanoo pe aa.e maut bhi main shaairana chahta hooñ
Qateel Shifai
6 likes
raabta laakh sahi qaafila-salaar ke saath ham ko chalna hai magar vaqt ki raftaar ke saath gham lage rahte hain har aan khushi ke peeche dushmani dhoop ki hai saaya-e-deewar ke saath kis tarah apni mohabbat ki main takmeel karoon gham-e-hasti bhi to shaamil hai gham-e-yaar ke saath lafz chunta hooñ to mafhoom badal jaata hai ik na ik khauf bhi hai jurat-e-izhaar ke saath dushmani mujh se ki.e ja magar apna ban kar jaan le le mirii sayyaad magar pyaar ke saath do ghadi aao mil aayen kisi ghalib se qatil hazrat zauq to waabasta hain darbaar ke saath
Qateel Shifai
2 likes
apne haathon ki lakeeron men saja le mujh ko main hoon teraa tu naseeb apna banaa le mujh ko main jo kaanta hoon to chal mujh se bacha kar daaman main hoongar phool to jude men saja le mujh ko tark-e-ulft ki qasam bhi koi hoti hai qasam tu kabhi yaad to kar bhoolne waale mujh ko mujh se tu poochne aaya hai vafaa ke maani ye tiri saada-dili maar na dale mujh ko main samundar bhi hoon moti bhi hoon ghota-zan bhi koi bhi naam mira le ke bula le mujh ko tu ne dekha nahin aaiine se aage kuchh bhi khud-parasti men kahii tu na ganwa le mujh ko baandh kar sang-e-wafa kar diya tu ne gharqaab kaun aisa hai jo ab dhoondh nikale mujh ko KHud ko main baant na daaloon kahii daaman daaman kar diya tu ne agar mere hawaale mujh ko main khule dar ke kisi ghar ka hoon saamaan pyaare tu dabe-paav kabhi aa ke chura le mujh ko kal ki baat aur hai main ab sa rahoon ya na rahoon jitna jee chahe tira aaj sata le mujh ko vaa'da phir vaa'da hai main zahar bhi pee jaaun qatil shart ye hai koi baanhon men sambhaale mujh ko
Qateel Shifai
6 likes
khula hai jhooth ka bazaar aao sach boleinna ho bala se khareedaar aao sach bolein sukoot chaaya hai insaaniyat ki qadron par yahii hai mauqa-e-izhaar aao sach bolein ha men gawaah banaya hai vaqt ne apna b-naam-e-azmat-e-kirdaar aao sach bolein suna hai vaqt ka haakim badaa hi munsif hai pukaar kar sar-e-darbaar aao sach bolein tamaam shahar men kya ek bhi nahin mansoor kaheinge kya rasn-o-daar aao sach bolein baja ki khoo-e-wafa ek bhi haseen men nahin kahaan ke ham bhi wafadar aao sach bolein jo wasf ham men nahin kyun karen kisi men talash agar zameer hai bedaar aao sach bolein chhu paa.e se kahii chhupte hain daagh chehre ke nazar hai aaina-bardaar aao sach bolein qatil jin pe sadaa pattharon ko pyaar aaya kidhar ga.e vo gunahgaar aao sach bolein
Qateel Shifai
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Qateel Shifai.
Similar Moods
More moods that pair well with Qateel Shifai's ghazal.







