phir hareef-e-bahaar ho baithe jaane kis kis ko aaj ro baithe thii magar itni raayegaan bhi na thii aaj kuchh zindagi se kho baithe tere dar tak pahunch ke laut aa.e ishq ki aabroo dubo baithe saari duniya se door ho jaa.e jo zaraa tere paas ho baithe na gaii teri be-rukhi na gaii ham tiri aarzoo bhi kho baithe faiz hota rahe jo hona hai she'r likhte raha karo baithe
Related Ghazal
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
khaali baithe ho to ik kaam meraa kar do naa mujh ko achha sa koii zaKHm ada kar do naa dhyaan se panchiyo ko dete ho daana paani itne achchhe ho to pinjare se rihaa kar do naa jab qareeb aa hi ga.e ho to udaasi kaisi jab diya de hi rahe ho to jala kar do naa
Zubair Ali Tabish
102 likes
ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e
Yasir Khan
92 likes
More from Faiz Ahmad Faiz
baat bas se nikal chali hai dil ki haalat sambhal chali hai ab junoon had se badh chala hai ab tabi'at bahl chali hai ashk khoonaab ho chale hain gham ki rangat badal chali hai ya yoonhi bujh rahi hain shamaein ya shab-e-hijr tal chali hai laakh paighaam ho ga.e hain jab saba ek pal chali hai jaao ab so raho sitaaro dard ki raat dhal chali hai
Faiz Ahmad Faiz
1 likes
tiri umeed tira intizaar jab se haina shab ko din se shikaayat na din ko shab se hai kisi ka dard ho karte hain tere naam raqam gilaa hai jo bhi kisi se tire sabab se hai hua hai jab se dil-e-na-suboor be-qaboo kalaam tujh se nazar ko bade adab se hai agar sharar hai to bhadke jo phool hai to khile tarah tarah ki talab tere rang-e-lab se hai kahaan ga.e shab-e-furqat ke jaagne waale sitaara-e-seheri ham-kalaam kab se hai
Faiz Ahmad Faiz
0 likes
na ab raqeeb na naaseh na gham-gusaar koi tum aashna the to theen aashnaaiyaan kya kya juda the ham to muyassar theen qurbaten kitnii bahm hue to pa dii hain judaaiyaan kya kya pahunch ke dar pe tire kitne mo'tabar thehre agarche rah men hui jag-hansaaiyaan kya kya ham aise saada-dilon ki niyaaz-man dii se buton ne ki hain jahaan men khudaiyaan kya kya sitam pe KHush kabhi lutf-o-karam se ranjeeda sikhaaiin tum ne ha men kaj-adaaiyaan kya kya
Faiz Ahmad Faiz
1 likes
vo buton ne dale hain vasvase ki dilon se khauf-e-khuda gaya vo padi hain roz qayaamaatein ki khayal-e-roz-e-jaza gaya jo nafs tha khaar-e-guloo banaa jo uthe the haath lahu hue vo nashaat-e-aah-e-sehr gaii vo waqar-e-dast-e-dua gaya na vo rang fasl-e-bahaar ka na ravish vo abr-e-bahaar ki jis ada se yaar the aashna vo mizaaj-e-baad-e-saba gaya jo talab pe ahad-e-wafaa kiya to vo aabroo-e-wafa gaii sar-e-aam jab hue muddai to sawaab-e-sidq-o-safa gaya abhii baadbaan ko tah rakho abhii muztarib hai rukh-e-hawa kisi raaste men hai muntazir vo sukoon jo aa ke chala gaya
Faiz Ahmad Faiz
1 likes
sabhi kuchh hai teraa diya hua sabhi raahatein sabhi kulphatein kabhi sohbaten kabhi furqatein kabhi dooriyaan kabhi qurbaten ye sukhun jo ham ne raqam ki.e ye hain sab varq tiri yaad ke koi lamha subh-e-visaal ka koi shaam-e-hijr ki muddatein jo tumhaari maan len naaseha to rahega daaman-e-dil men kyana kisi adoo ki adaavaten na kisi sanam ki muravvatein chalo aao tum ko dikhaayein ham jo bacha hai maqtal-e-shehr men ye mazaar ahl-e-safa ke hain ye hain ahl-e-sidq ki turbatein mirii jaan aaj ka gham na kar ki na jaane kaatib-e-waqt ne kisi apne kal men bhi bhool kar kahii likh rakhi hon masarratein
Faiz Ahmad Faiz
4 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Faiz Ahmad Faiz.
Similar Moods
More moods that pair well with Faiz Ahmad Faiz's ghazal.







