phir vahi main huun vahi shahr-badar sannata mujh ko das le na kahin khak-basar sannata dasht-e-hasti men shab-e-ghham ki sahar karne ko hijr valon ne liya rakht-e-safar sannata kis se puchhun ki kahan hai mira rone vaala is taraf main huun mire ghar se udhar sannata tu sadaon ke bhanvar men mujhe avaz to de tujh ko dega mire hone ki khabar sannata us ko hangama-e-manzil ki khabar kya doge jis ne paaya ho sar-e-rahguzar sannata hasil-e-kunj-e-qafas vahm-ba-kaf tanhai raunaq-e-sham-e-safar ta-ba-sahar sannata qsimat-e-shair-e-simab-sifat dasht ki maut qimat-e-reza-e-almas-e-hunar sannata jan-e-'mohsin' miri taqdir men kab likkha hai dubta chand tira qurb-e-gajar sannata phir wahi main hun wahi shahr-badar sannata mujh ko das le na kahin khak-basar sannata dasht-e-hasti mein shab-e-gham ki sahar karne ko hijr walon ne liya rakht-e-safar sannata kis se puchhun ki kahan hai mera rone wala is taraf main hun mere ghar se udhar sannata tu sadaon ke bhanwar mein mujhe aawaz to de tujh ko dega mere hone ki khabar sannata us ko hangama-e-manzil ki khabar kya doge jis ne paya ho sar-e-rahguzar sannata hasil-e-kunj-e-qafas wahm-ba-kaf tanhai raunaq-e-sham-e-safar ta-ba-sahar sannata qsimat-e-shair-e-simab-sifat dasht ki maut qimat-e-reza-e-almas-e-hunar sannata jaan-e-'mohsin' meri taqdir mein kab likkha hai dubta chand tera qurb-e-gajar sannata
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e
Yasir Khan
92 likes
jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho
Tehzeeb Hafi
268 likes
More from Mohsin Naqvi
ab vo toofan hai na vo shor hawaon jaisa dil ka aalam hai tere baa'd khalaao jaisa kaash duniya mere ehsaas ko waapas kar de KHaamushi ka vahii andaaz sadaaon jaisa paas rah kar bhi hamesha vo bahut door milaus ka andaaz-e-taghaful tha khudaon jaisa kitnii shiddat se bahaaron ko tha ehsaas-e-ma'aal phool khil kar bhi raha zard khizaaon jaisa kya qayaamat hai ki duniya use sardaar kahe jis ka andaaz-e-sukhan bhi ho gadaaon jaisa phir teri yaad ke mausam ne jagaae mahshar phir mere dil men utha shor hawaon jaisa baarha KHvaab men pa kar mujhe pyaasa mohsinus kii zulfon ne kiya rak's ghataon jaisa
Mohsin Naqvi
1 likes
jab se us ne shahar ko chhodaa har rastaa sunsaan hua apna kya hai saare shahar ka ik jaisa nuksaan hua ye dil ye aaseb ki nagri maskan sochun vahmon ka soch raha hooñ is nagri men tu kab se mehmaan hua sehra ki munh-zor hawaaein auron se mansoob hui muft men ham aawaara thehre muft men ghar veeraan hua mere haal pe hairat kaisi dard ke tanhaa mausam men patthar bhi ro padte hain insaan to phir insaan hua itni der men ujde dil par kitne mahshar beet ga.e jitni der men tujh ko pa kar khone ka imkaan hua kal tak jis ke gird tha raksaan ik amboh sitaaron ka aaj usii ko tanhaa pa kar main to bahut hairaan hua us ke zakham chhupa kar rakhiye KHud us shaKHs ki nazaron seus se kaisa shikwa kijeye vo to abhii naadaan hua jin ashkon ki feeki lau ko ham be-kaar samjhte the un ashkon se kitna raushan ik tareek makaan hua yuñ bhi kam-aamez tha mohsin vo is shahar ke logon men lekin mere saamne aa kar aur bhi kuchh anjaan hua
Mohsin Naqvi
0 likes
main dil pe jabr karunga tujhe bhula dooñga maroonga KHud bhi tujhe bhi kaddi saza dooñga ye teergii mire ghar ka hi kyun muqaddar ho main tere shahar ke saare diye bujha dooñga hawa ka haath bataaunga har tabaahi men hare shajar se parinde main KHud uda dooñga vafaa karunga kisi sogwaar chehre se puraani qabr pe kitaba naya saja dooñga isee khayal men guzri hai shaam-e-dard akshar ki dard had se badhega to muskuraa dooñga tu aasmaan ki soorat hai gar padega kabhi zameen hooñ main bhi magar tujh ko aasraa dooñga badha rahi hain mire dukh nishaaniyaan teri main tere khat tiri tasveer tak jala dooñga bahut dinon se mira dil udaas hai mohsin is aaine ko koi aks ab naya dooñga
Mohsin Naqvi
7 likes
naya hai shahar naye aasre talash karoon tu kho gaya hai kahaan ab tujhe talash karoon jo dasht men bhi jalate the fasl-e-gul ke charaaghh main shahar men bhi vahii aable talash karoon tu aks hai to kabhi meri chashm-e-tar men utar tire li.e main kahaan aaine talash karoon tujhe hawas ki aawaargi ka ilm kahaan kabhi main tujh ko tire saamne talash karoon ghazal kahooñ kabhi saada se khat likhoon us ko udaas dil ke li.e mashghale talash karoon mire vujood se shaayad mile suraagh tira kabhi main KHud ko tire vaaste talash karoon main chup rahoon kabhi be-wajh hañs padhoon mohsin use ganwa ke ajab hausale talash karoon
Mohsin Naqvi
2 likes
hawa-e-hijr men jo kuchh tha ab ke KHaak hua ki pairhan to gaya tha badan bhi chaak hua ab us se tark-e-taalluq karoon to mar jaaun badan se rooh ka is darja ishtiraak hua yahii ki sab ki kamaanein humeen pe tooti hain chalo hisaab-e-saf-e-dostaan to paak hua vo be-sabab yoonhi rootha hai lamha-bhar ke li.e ye saanehaa na sahi phir bhi karb-naak hua usii ke qurb ne taqseem kar diya aaKHir vo jis ka hijr mujhe wajh-e-inhimaak hua shadeed vaar na dushman diler tha mohsin main apni be-khabri se magar halaak hua
Mohsin Naqvi
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Mohsin Naqvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Mohsin Naqvi's ghazal.







