ghazalKuch Alfaaz

phirte hain kab se dar-ba-dar ab is nagar ab us nagar ik dusre ke ham-safar main aur miri avargi na-ashna har rah-guzar na-mehrban har ik nazar jaaen to ab jaaen kidhar main aur miri avargi ham bhi kabhi abad the aise kahan barbad the be-fikr the azad the masrur the dil-shad the vo chaal aisi chal gaya ham bujh gae dil jal gaya nikle jala ke apna ghar main aur miri avargi jiina bahut asan tha ik shakhs ka ehsan tha ham ko bhi ik arman tha jo khvab ka saman tha ab khvab hai nai aarzu arman hai nai justuju yuun bhi chalo khush hain magar main aur miri avargi vo mah-vash vo mah-ru vo mah-kam-e-hu-ba-hu thiin jis ki baten ku-ba-ku us se ajab thi guftugu phir yuun hua vo kho gai to mujh ko zid si ho gai laenge us ko dhund kar main aur miri avargi ye dil hi tha jo sah gaya vo baat aisi kah gaya kahne ko phir kya rah gaya ashkon ka dariya bah gaya jab kah ke vo dilbar gaya tere liye main mar gaya rote hain us ko raat bhar main aur miri avargi ab ghham uthaen kis liye aansu bahaen kis liye ye dil jalaen kis liye yuun jaan ganvaen kis liye pesha na ho jis ka sitam dhundenge ab aisa sanam honge kahin to kargar main aur miri avargi asar hain sab khot ke imkan hain sab chot ke ghar band hain sab got ke ab khatm hain sab totke qismat ka sab ye pher hai andher hai andher hai aise hue hain be-asar main aur miri avargi jab hamdam-o-hamraz tha tab aur hi andaz tha ab soz hai tab saaz tha ab sharm hai tab naaz tha ab mujh se ho to ho bhi kya hai saath vo to vo bhi kya ik be-hunar ik be-samar main aur miri avargi phirte hain kab se dar-ba-dar ab is nagar ab us nagar ek dusre ke ham-safar main aur meri aawargi na-ashna har rah-guzar na-mehrban har ek nazar jaen to ab jaen kidhar main aur meri aawargi hum bhi kabhi aabaad the aise kahan barbaad the be-fikr the aazad the masrur the dil-shad the wo chaal aisi chal gaya hum bujh gae dil jal gaya nikle jala ke apna ghar main aur meri aawargi jina bahut aasan tha ek shakhs ka ehsan tha hum ko bhi ek arman tha jo khwab ka saman tha ab khwab hai nai aarzu arman hai nai justuju yun bhi chalo khush hain magar main aur meri aawargi wo mah-wash wo mah-ru wo mah-kaam-e-hu-ba-hu thin jis ki baaten ku-ba-ku us se ajab thi guftugu phir yun hua wo kho gai to mujh ko zid si ho gai laenge us ko dhund kar main aur meri aawargi ye dil hi tha jo sah gaya wo baat aisi kah gaya kahne ko phir kya rah gaya ashkon ka dariya bah gaya jab kah ke wo dilbar gaya tere liye main mar gaya rote hain us ko raat bhar main aur meri aawargi ab gham uthaen kis liye aansu bahaen kis liye ye dil jalaen kis liye yun jaan ganwaen kis liye pesha na ho jis ka sitam dhundenge ab aisa sanam honge kahin to kargar main aur meri aawargi aasar hain sab khot ke imkan hain sab chot ke ghar band hain sab got ke ab khatm hain sab totke qismat ka sab ye pher hai andher hai andher hai aise hue hain be-asar main aur meri aawargi jab hamdam-o-hamraaz tha tab aur hi andaz tha ab soz hai tab saz tha ab sharm hai tab naz tha ab mujh se ho to ho bhi kya hai sath wo to wo bhi kya ek be-hunar ek be-samar main aur meri aawargi

Related Ghazal

tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain

Dagh Dehlvi

84 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

kisi libaas ki khushboo jab ud ke aati hai tere badan ki judaai bahut sataati hai tere gulaab tarsate hain teri khushboo ko teri safed chameli tujhe bulaati hai tere baghair mujhe chain kaise padta hain mere bagair tujhe neend kaise aati hai

Jaun Elia

113 likes

More from Javed Akhtar

vo dhal raha hai to ye bhi rangat badal rahi hai zameen suraj ki ungliyon se fisal rahi hai jo mujh ko zinda jala rahe hain vo be-KHabar hain ki meri zanjeer dheere dheere pighal rahi hai main qatl to ho gaya tumhaari gali men lekin mire lahu se tumhaari deewaar gal rahi hai na jalne paate the jis ke choolhe bhi har savere suna hai kal raat se vo bastii bhi jal rahi hai main jaanta hooñ ki KHaamushi men hi maslahat hai magar yahii maslahat mire dil ko khal rahi hai kabhi to insaan zindagi ki karega izzat ye ek ummeed aaj bhi dil men pal rahi hai

Javed Akhtar

2 likes

KHvaab ke gaav men pale hain ham paani chhalni men le chale hain ham chaach phoonken ki apne bachpan men doodh se kis tarah jale hain ham KHud hain apne safar ki dushwaari apne pairo'n ke aable hain ham tu to mat kah ha men bura duniya tu ne dhaala hai aur dhale hain ham kyun hain kab tak hain kis ki khaatir hain bade sanjeeda masale hain ham

Javed Akhtar

5 likes

hamaare dil men ab talkhi nahin hai magar vo baat pahle si nahin hai mujhe mayus bhi karti nahin hai yahii aadat tiri achchhii nahin hai bahut se faaede hain maslahat men magar dil ki to ye marzi nahin hai har ik ki dastaan sunte hain jaise kabhi ham ne mohabbat ki nahin hai hai ik darwaaze bin deewar-e-duniya mafar gham se yahaañ koi nahin hai

Javed Akhtar

3 likes

main pa sakaa na kabhi is khalish se chhutkaara vo mujh se jeet bhi sakaa tha jaane kyun haara baras ke khul ga.e aañsu nithar gaii hai fazaa chamak raha hai sar-e-shaam dard ka taara kisi ki aankh se tapka tha ik amaanat hai mirii hatheli pe rakha hua ye angaara jo par samete to ik shaakh bhi nahin paai khule the par to mira aasmaan tha saara vo saanp chhod de dassna ye main bhi kahtaa hooñ magar na chhodenge log us ko gar na funkara

Javed Akhtar

6 likes

ik pal ghamon ka dariyaa ik pal khushi ka dariyaa rookta nahin kabhi bhi ye zindagi ka dariyaa aañkhen theen vo kisi ki ya KHvaab ki zanjeeren awaaz thii kisi ki ya raagini ka dariyaa is dil ki vaadiyon men ab khaak ud rahi hai bahta yahiin tha pahle ik aashiqi ka dariyaa kirnon men hain ye lahren ya lehron men hain kirnen dariyaa ki chaandni hai ya chaandni ka dariyaa

Javed Akhtar

3 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Javed Akhtar.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Javed Akhtar's ghazal.