qarib maut khadi hai zara thahar jaao qaza se aankh ladi hai zara thahar jaao thaki thaki si fazaen bujhe bujhe taare badi udaas ghadi hai zara thahar jaao nahin umiid ki ham aaj ki sahar dekhen ye raat ham pe kadi hai zara thahar jaao abhi na jaao ki taron ka dil dhadakta hai tamam raat padi hai zara thahar jaao phir is ke baa'd kabhi ham na tum ko rokenge labon pe saans adi hai zara thahar jaao dam-e-firaq main ji bhar ke tum ko dekh to luun ye faisle ki ghadi hai zara thahar jaao qarib maut khadi hai zara thahar jao qaza se aankh ladi hai zara thahar jao thaki thaki si fazaen bujhe bujhe tare badi udas ghadi hai zara thahar jao nahin umid ki hum aaj ki sahar dekhen ye raat hum pe kadi hai zara thahar jao abhi na jao ki taron ka dil dhadakta hai tamam raat padi hai zara thahar jao phir is ke ba'd kabhi hum na tum ko rokenge labon pe sans adi hai zara thahar jao dam-e-firaq main ji bhar ke tum ko dekh to lun ye faisle ki ghadi hai zara thahar jao
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Saifuddin Saif.
Similar Moods
More moods that pair well with Saifuddin Saif's ghazal.







