rahzan aadmi rahnuma aadmi bar-ha ban chuka hai khuda aadmi haae takhliq ki kar-pardaziyan khaak si chiiz ko kah diya aadmi khul gae jannaton ke vahan zaiche do qadam jhuum kar jab chala aadmi zindagi khanqah-e-shahud-o-baqa aur lauh-e-mazar-e-fana aadmi subh-dam chand ki rukhsati ka saman jis tarah bahr men dubta aadmi kuchh farishton ki taqdis ke vaste sah gaya aadmi ki jafa aadmi gunjti hi rahegi falak-dar-falak hai mashiyyat ki aisi sada aadmi aas ki muraten pujte pujte ek tasvir si ban gaya aadmi rahzan aadmi rahnuma aadmi bar-ha ban chuka hai khuda aadmi hae takhliq ki kar-pardaziyan khak si chiz ko kah diya aadmi khul gae jannaton ke wahan zaiche do qadam jhum kar jab chala aadmi zindagi khanqah-e-shahud-o-baqa aur lauh-e-mazar-e-fana aadmi subh-dam chand ki rukhsati ka saman jis tarah bahr mein dubta aadmi kuchh farishton ki taqdis ke waste sah gaya aadmi ki jafa aadmi gunjti hi rahegi falak-dar-falak hai mashiyyat ki aisi sada aadmi aas ki muraten pujte pujte ek taswir si ban gaya aadmi
Related Ghazal
tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban
Varun Anand
81 likes
jis tarah waqt guzarne ke li.e hota hai aadmi shakl pe marne ke li.e hota hai teri aankhoñ se mulaqaat hui tab ye khula doobne vaala ubharne ke li.e hota hai ishq kyun peeche hata baat nibhaane se miyaan husn to khair mukarne ke li.e hota hai aankh hoti hai kisi raah ko takne ke li.e dil kisi paanv pe dharne ke li.e hota hai dil ki dilli ka chunaav hi alag hai sahab jab bhi hota hai ye harne ke li.e hota hai koi bastii ho ujhadne ke li.e bastii hai koi mazma ho bikharna ke li.e hota hai
Ali Zaryoun
61 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga
Hasan Abbasi
235 likes
itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen
Mehshar Afridi
173 likes
More from Saghar Siddiqui
main talkhi-e-hayaat se ghabra ke pee gaya gham ki siyaah raat se ghabra ke pee gaya itni daqeeq shay koi kaise samajh sake yazdaan ke waqiaat se ghabra ke pee gaya chalke hue the jaam pareshaan thii zulf-e-yaar kuchh aise haadsaat se ghabra ke pee gaya main aadmi hooñ koi farishta nahin huzoor main aaj apni zaat se ghabra ke pee gaya duniya-e-haadsaat hai ik dardnaak geet duniya-e-haadsaat se ghabra ke pee gaya kaañte to KHair kaañte hain is ka gilaa hi kya phoolon ki waardaat se ghabra ke pee gaya saaghar vo kah rahe the ki pee leejie huzoor un ki guzaarishaat se ghabra ke pee gaya
Saghar Siddiqui
3 likes
ai dil-e-be-qaraar chup ho ja ja chuki hai bahaar chup ho ja ab na aayenge roothne waale deeda-e-ashk-baar chup ho ja ja chuka kaarvaan-lala-o-gul ud raha hai ghubaar chup ho ja chhoot jaati hai phool se khushboo rooth jaate hain yaar chup ho ja ham faqeeron ka is zamaane men kaun hai gham-gusaar chup ho ja haadson ki na aankh khul jaa.e hasrat-e-sogvaar chup ho ja geet ki zarb se bhi ai saaghar toot jaate hain taar chup ho ja
Saghar Siddiqui
4 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Saghar Siddiqui.
Similar Moods
More moods that pair well with Saghar Siddiqui's ghazal.







