rafta rafta sitare sabhi bujh gae chand dhalne laga raat rukhsat hui aur diya niind ki samt chalne laga log maazi ke marghat se chunne lage sar kati vahshaten vaqt ki kokh men ik naya saniha phir se palne laga manzilon ka ta'ayyun zaruri hai aghhaz se pesh-tar varna ghhaza safar ka to be-kar chehre pe malne laga duur 'ufuq par kahin surmai badalon ki jhalak dekh kar dhuup be-kal hui aur sahraon ka dam nikalne laga pahle pahle to samjha tha main zindagi tere bin kuchh nahin rafta rafta magar zakhm bharne lage dil sanbhalne laga rafta rafta sitare sabhi bujh gae chand dhalne laga raat rukhsat hui aur diya nind ki samt chalne laga log mazi ke marghat se chunne lage sar kati wahshaten waqt ki kokh mein ek naya saniha phir se palne laga manzilon ka ta'ayyun zaruri hai aaghaz se pesh-tar warna ghaza safar ka to be-kar chehre pe malne laga dur 'ufuq par kahin surmai baadalon ki jhalak dekh kar dhup be-kal hui aur sahraon ka dam nikalne laga pahle pahle to samjha tha main zindagi tere bin kuchh nahin rafta rafta magar zakhm bharne lage dil sanbhalne laga
Related Ghazal
ye lauh-e-ishq pe likha hai tere shahar ke log vafaa se jeet bhi jaayen to haar jaayenge vo jin ke haath men kaaghaz ki kashtiyaañ hongi suna hai chand vahii log paar jaayenge kitaab-e-zarf-e-mohabbat pe haath rakh ke kaho sawaal jaan ka aaya to vaar jaayenge
Khalil Ur Rehman Qamar
23 likes
kisko roshan banaa rahe ho tum itnaa jo bujhte ja rahe ho tum phool kisne qubool karne hain jab talak muskuraa rahe ho tum log paagal banaaye ja chuke hain ab naya kya banaa rahe ho tum gaav ki jhaadiyaan bataa raheen hain shahr men gul khila rahe ho tum aur kisne tumhein nahin dekha aur kiske KHuda rahe ho tum
Muzdum Khan
17 likes
k abhii yuñ bhi aa mirii aankh men ki mirii nazar ko khabar na ho mujhe ek raat nawaaz de magar is ke baa'd sehar na ho vo badaa raheem o kareem hai mujhe ye sifat bhi ata kare tujhe bhoolne ki dua karoon to mirii dua men asar na ho mire baazuon men thaki thaki abhii mahv-e-khwaab hai chaandnina uthe sitaaron ki paalki abhii aahaton ka guzar na ho ye ghazal ki jaise hiran ki aankh men pichhli raat ki chaandnina bujhe kharaabe ki raushni k abhii be-charaagh ye ghar na ho k abhii din ki dhoop men jhoom ke k abhii shab ke phool ko choom ke yuñ hi saath saath chalen sadaa k abhii khatm apna safar na ho
Bashir Badr
18 likes
bade tahammul se rafta rafta nikaalna hai bacha hai jo tujh men meraa hissa nikaalna hai ye rooh barson se dafn hai tum madad karoge badan ke malbe se is ko zinda nikaalna hai nazar men rakhna kahii koi gham-shanaas gaahak mujhe sukhun bechna hai kharcha nikaalna hai nikaal laaya hooñ ek pinjare se ik parinda ab is parinde ke dil se pinjra nikaalna hai ye tees barson se kuchh baras peeche chal rahi hai mujhe ghadi ka KHaraab purza nikaalna hai khayal hai khaandaan ko ittilaa' de doon jo kat gaya us shajar ka shajra nikaalna hai main ek kirdaar se badaa tang hooñ qalamkaar mujhe kahaanii men daal ghussa nikaalna hai
Umair Najmi
42 likes
main aasmaañ pe bahut der rah nahin saka magar ye baat zameen se to kah nahin saka kisi ke chehre ko kab tak nigaah men rakhoon safar men ek hi manzar to rah nahin saka ye aazmaane ki furqat tujhe kabhi mil jaa.e main aankhoñ aankhoñ men kya baat kah nahin saka sahaara lena hi padta hai mujh ko dariyaa ka main ek qatra hooñ tanhaa to bah nahin saka laga ke dekh le jo bhi hisaab aata ho mujhe ghatta ke vo ginti men rah nahin saka ye chand lamhon ki be-ikhtiyaariyaan hain waseem gunah se rishta bahut der rah nahin saka
Waseem Barelvi
19 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Usman Naazir.
Similar Moods
More moods that pair well with Usman Naazir's ghazal.







