ranj ki jab guftugoo hone lagii aap se tum tum se tu hone lagii chahiye paigham-bar dono taraf lutf kya jab doo-b-doo hone lagii meri ruswaai ki naubat aa gaii un ki shohrat koo-b-koo hone lagii hai tiri tasveer kitnii be-hijaab har kisi ke roo-b-roo hone lagii gair ke hote bhala ai shaam-e-wasl kyun hamaare roo-b-roo hone lagii na-ummee dii badh gaii hai is qadar aarzoo ki aarzoo hone lagii ab ke mil kar dekhiye kya rang ho phir hamaari justuju hone lagii daagh itraaye hue firte hain aaj shaayad un ki aabroo hone lagii
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho
Tehzeeb Hafi
268 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
ghazal to sabko mee thii lag rahi thii magar naatik ko mirchi lag rahi thii tumhaare lab nahin choo men the jab tak mujhe har cheez kadvii lag rahi thii main jis din chhodne vaala tha us..ko vo us din sabse pyaari lag rahi thii
Zubair Ali Tabish
80 likes
More from Dagh Dehlvi
khaatir se ya lihaaz se main maan to gaya jhooti qasam se aap ka eimaan to gaya dil le ke muft kahte hain kuchh kaam ka nahin ulti shikaayaten hui ehsaan to gaya dartaa hooñ dekh kar dil-e-be-aarzoo ko main sunsaan ghar ye kyun na ho mehmaan to gaya kya aa.e raahat aayi jo kunj-e-mazaar men vo valvala vo shauq vo armaan to gaya dekha hai but-kade men jo ai shaikh kuchh na pooch eimaan ki to ye hai ki eimaan to gaya ifsha-e-raaz-e-ishq men go zillatein hui lekin use jata to diya jaan to gaya go nama-bar se KHush na hua par hazaar shukr mujh ko vo mere naam se pahchaan to gaya bazm-e-aduu men soorat-e-parwaana dil mira go rashk se jala tire qurbaan to gaya hosh o hawas o taab o tavaan daagh ja chuke ab ham bhi jaane waale hain samaan to gaya
Dagh Dehlvi
1 likes
baaki jahaan men qais na farhaad rah gaya afsaana aashiqon ka faqat yaad rah gaya ye sakht-jaan to qatl se naashaad rah gaya khanjar chala to baazoo-e-jallaad rah gaya paabandiyo ne ishq ki bekas rakha mujhe main sau asiriyo men bhi azaad rah gaya chashm-e-sanam ne yuñ to bigaade hazaar ghar ik kaaba chand roz ko aabaad rah gaya mahshar men ja-e-shikwa kiya shukr yaar ka jo bhoolna tha mujh ko vahii yaad rah gaya un ki to ban padi ki lagii jaan muft haath teri girah men kya dil-e-naashaad rah gaya pur-noor ho rahega ye zulmat-kada agar dil men buton ka shauq-e-khuda-daad rah gaya yuñ aankh un ki kar ke ishaara palat gaii goya ki lab se ho ke kuchh irshaad rah gaya naaseh ka jee chala tha hamaari tarah magar ulfat ki dekh dekh ke uftaad rah gaya hain tere dil men sab ke thikaane bure bhale main khaanumaan-kharaab hi barbaad rah gaya vo din ga.e ki thii mire seene men kuchh kharaash ab dil kahaan hai dil ka nishaan yaad rah gaya soorat ko teri dekh ke khinchti hai jaan-e-khalk dil apna thaam thaam ke bahzaad rah gaya ai daagh dil hi dil men ghule zabt-e-ishq se afsos shauq-e-naala-o-fariyaad rah gaya
Dagh Dehlvi
0 likes
is ada se vo jafaa karte hain koi jaane ki vafaa karte hain yuñ vafaa ahad-e-wafaa karte hain aap kya kahte hain kya karte hain ham ko chhedoge to pachtayoge hansne waalon se hansa karte hain nama-bar tujh ko saleeqa hi nahin kaam baaton men banaa karte hain cha li.e 'aashiq ka janaaza utha aap baithe hue kya karte hain ye bataata nahin koi mujh ko dil jo aata hai to kya karte hain husn ka haq nahin rehta baaki har ada men vo ada karte hain teer aaKHir badl-e-kaafir hai ham akheer aaj dua karte hain rote hain gair ka rona paharon ye hañsi mujh se hansa karte hain is li.e dil ko laga rakha hai is men mahboob raha karte hain tum miloge na vahaañ bhi ham se hashr se pahle gilaa karte hain jhaank kar rauzan-e-dar se mujh ko kya vo shokhi se haya karte hain us ne ehsaan jata kar ye kaha aap kis munh se gilaa karte hain roz lete hain naya dil dilbar nahin maaloom ye kya karte hain daagh tu dekh to kya hota hai jabr par sabr kiya karte hain
Dagh Dehlvi
5 likes
is nahin ka koi ilaaj nahin roz kahte hain aap aaj nahin kal jo tha aaj vo mizaaj nahin is talavvun ka kuchh ilaaj nahin aaina dekhte hi itraaye phir ye kya hai agar mizaaj nahin le ke dil rakh lo kaam aayega go abhii tum ko ehtiyaaj nahin ho saken ham mizaaj-daan kyunkar ham ko milta tira mizaaj nahin chup lagii laal-e-jaan-faza ko tire is maseeha ka kuchh ilaaj nahin dil-e-be-muddaa KHuda ne diya ab kisi shay ki ehtiyaaj nahin khote daamon men ye bhi kya thehra dirham-e-'daagh ka rivaaj nahin be-niyaazi ki shaan kahti hai bandagi ki kuchh ehtiyaaj nahin dil-lagi keejie raqeebon se is tarah ka mira mizaaj nahin ishq hai paadshaah-e-aalam-geer garche zaahir men takht-o-taaj nahin dard-e-furqat ki go davaa hai visaal is ke qaabil bhi har mizaaj nahin yaas ne kya bujha diya dil ko ki tadap kaisi ikhtilaaj nahin ham to seerat-pasand 'aashiq hain khoob-roo kya jo khush-mizaj nahin hoor se poochta hooñ jannat men is jagah kya buton ka raaj nahin sabr bhi dil ko daagh de lenge abhii kuchh is ki ehtiyaaj nahin
Dagh Dehlvi
2 likes
jo ho saka hai us se vo kisi se ho nahin saka magar dekho to phir kuchh aadmi se ho nahin saka mohabbat men kare kya kuchh kisi se ho nahin saka mira marna bhi to meri khushi se ho nahin saka alag karna raqeebon ka ilaahi tujh ko aasaan hai mujhe mushkil ki meri bekasi se ho nahin saka kiya hai waada-e-farda unhon ne dekhiye kya ho yahaañ sabr o tahammul aaj hi se ho nahin saka ye mushtaqq-e-shahaadat kis jagah jaayen kise dhunden ki teraa kaam qaateel jab tujhi se ho nahin saka laga kar teg qissa paak keejie daad-khwaaho ka kisi ka faisla kar munsifi se ho nahin saka mira dushman ba-zaahir chaar din ko dost hai teraa kisi ka ho rahe ye har kisi se ho nahin saka pursish kahoge kya vahaañ jab yaa ye soorat hai ada ik harf-e-waada nazuki se ho nahin saka na kahiye go ki haal-e-dil magar rang-aashnaa hain ham ye zaahir aap ki kya KHaamushi se ho nahin saka kiya jo ham ne zalim kya karega gair munh kya hai kare to sabr aisa aadmi se ho nahin saka chaman men naaz bulbul ne kiya jo apni naale par chatk kar guncha bola kya kisi se ho nahin saka nahin gar tujh pe qaabu dil hai par kuchh zor ho apna karoon kya ye bhi to na-taaqati se ho nahin saka na rona hai tariqe ka na hansna hai saleeqe ka pareshaani men koi kaam jee se ho nahin saka hua hooñ is qadar mahjoob arz-e-muddaa kar ke ki ab to uzr bhi sharmindagi se ho nahin saka ghazab men jaan hai kya kijeye badla ranj-e-furqat ka badi se kar nahin sakte khushi se ho nahin saka mazaa jo iztiraab-e-shauq se 'aashiq ko hai haasil vo tasleem o raza o bandagi se ho nahin saka KHuda jab dost hai ai daagh kya dushman se andesha hamaara kuchh kisi ki dushmani se ho nahin saka
Dagh Dehlvi
3 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Dagh Dehlvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Dagh Dehlvi's ghazal.







