rehl pe hathon ki rakh kar main rukh ka sahifa sochun huun aur agar kuchh ban nahin padta chupke chupke ro luun huun moti ashk sitare aansu zardaron ki tashbihat bhuuk men palkon par goya main jvaar ke daane tolun huun jab koi zardar mile hai raah men apni chaal men mast patthar se kya takrana main ek kinare ho luun huun nanhe nanhe hathon men jab bhiik ka kaasa dekhun main der talak main haath samete khali jeb tatolun huun sarson ke khaliyan pe qabiz andhiyaron ke shaki hain main to lahu ke diip jala kar chain se shab bhar so luun huun munim jab tahqir se dekhe mere sukhe sukhe haath ponchh ke peshani se pasina apne haath bhigo luun huun sher kahan ye dil ke darvaze par halki dastak hai ek kani almas ki jis se patthar men dar kholun huun rehl pe hathon ki rakh kar main rukh ka sahifa sochun hun aur agar kuchh ban nahin padta chupke chupke ro lun hun moti ashk sitare aansu zardaron ki tashbihat bhuk mein palkon par goya main jwar ke dane tolun hun jab koi zardar mile hai rah mein apni chaal mein mast patthar se kya takrana main ek kinare ho lun hun nanhe nanhe hathon mein jab bhik ka kasa dekhun main der talak main hath samete khali jeb tatolun hun sarson ke khaliyan pe qabiz andhiyaron ke shaki hain main to lahu ke dip jala kar chain se shab bhar so lun hun munim jab tahqir se dekhe mere sukhe sukhe hath ponchh ke peshani se pasina apne hath bhigo lun hun sher kahan ye dil ke darwaze par halki dastak hai ek kani almas ki jis se patthar mein dar kholun hun
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii
Ali Zaryoun
102 likes
uske haathon men jo khanjar hai zyaada tez hai aur phir bachpan se hi uskaa nishaana tez hai jab kabhi us paar jaane ka khyaal aata mujhe koi aahista se kahtaa tha ki dariyaa tez hai aaj milnaa tha bichhad jaane ki niyat se ha men aaj bhi vo der se pahuncha hai kitna tez hai apna sab kuchh haar ke laut aaye ho na mere paas main tumhe kahtaa bhi rehta ki duniya tez hai aaj uske gaal choo men hain to andaaza hua chaai achchhii hai magar thoda sa meetha tez hai
Tehzeeb Hafi
220 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Rasheeda Ayan.
Similar Moods
More moods that pair well with Rasheeda Ayan's ghazal.







