ghazalKuch Alfaaz

ret ankhon men bhar gaya dariya kaise aaya kidhar gaya dariya rasta mil saka na ankhon se mere andar hi mar gaya dariya main to pyasa tha khushk sahra sa mujh men kaise utar gaya dariya us ki ankhon ki dekh gahrai khamushi se guzar gaya dariya baat kitni thi mukhtasar us ki vo to kuuze men bhar gaya dariya phir muqaddar vahan thi barbadi jis taraf se guzar gaya dariya dekhne ki thiin us ki maujen phir baat se jab mukar gaya dariya dekh kar is qadar talatum ko meri ankhon se dar gaya dariya ret aankhon mein bhar gaya dariya kaise aaya kidhar gaya dariya rasta mil saka na aankhon se mere andar hi mar gaya dariya main to pyasa tha khushk sahra sa mujh mein kaise utar gaya dariya us ki aankhon ki dekh gahrai khamushi se guzar gaya dariya baat kitni thi mukhtasar us ki wo to kuze mein bhar gaya dariya phir muqaddar wahan thi barbaadi jis taraf se guzar gaya dariya dekhne ki thin us ki maujen phir baat se jab mukar gaya dariya dekh kar is qadar talatum ko meri aankhon se dar gaya dariya

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Asif Anjum.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Asif Anjum's ghazal.