ghazalKuch Alfaaz

rone ki ye shiddat hai ki ghabra gaiin ankhen ashkon ki ye kasrat hai ki tang aa gaiin ankhen dil sakht hi kafir ka par ankhon men haya hai sunte hi jafa ka gila sharma gaiin ankhen mehrab men hota nahin maston ka guzara abru ke tale khuub jagah pa gaiin ankhen vo talib-e-didar ke paas aaen magar kya hairat ka ye aalam hai ki kuuba gaiin ankhen farhad ne kya dekh ke sar teshe se phoda sujha na kuchh is ru se ki tihra gaiin ankhen dil de ke raha girya-e-khuni ka mujhe shaghhl baaqi tha jigar so use yuun kaha gaiin ankhen chadhte nahin ab meri nazar men mah-o-khurshid dekha tujhe kya main ne ki itra gaiin ankhen aa kar tire kuche men na kuchh ham se ban aai jaate hue ik munh tha ki barsa gaiin ankhen itna bhi na samjhe ki bala-e-dil-o-din hai 'nazim' tumhen kyuun us ki pasand aa gaiin ankhen rone ki ye shiddat hai ki ghabra gain aankhen ashkon ki ye kasrat hai ki tang aa gain aankhen dil sakht hi kafir ka par aankhon mein haya hai sunte hi jafa ka gila sharma gain aankhen mehrab mein hota nahin maston ka guzara abru ke tale khub jagah pa gain aankhen wo talib-e-didar ke pas aaen magar kya hairat ka ye aalam hai ki kuba gain aankhen farhad ne kya dekh ke sar teshe se phoda sujha na kuchh is ru se ki tihra gain aankhen dil de ke raha girya-e-khuni ka mujhe shaghl baqi tha jigar so use yun kaha gain aankhen chadhte nahin ab meri nazar mein mah-o-khurshid dekha tujhe kya main ne ki itra gain aankhen aa kar tere kuche mein na kuchh hum se ban aai jate hue ek munh tha ki barsa gain aankhen itna bhi na samjhe ki bala-e-dil-o-din hai 'nazim' tumhein kyun us ki pasand aa gain aankhen

Related Ghazal

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Syed Yusuf Ali Khan Nazim.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Syed Yusuf Ali Khan Nazim's ghazal.