sahil pe na aa jaun bhanvar men hi rahun main ta-'umr tire dida-e-tar men hi rahun main hai meri zarurat ko safar roz hi darkar kahti hai thakan paaon ki ghar men hi rahun main behtar hai karun khud ko khirad ke bhi havale kab tak dil-e-nadan ke asar men hi rahun main kya is ki zamanat hai ki tu tu hi rahega ik 'umr bhi ai dost agar main hi rahun main ik miil ke patthar ki tarah rah-e-adab men gumnam bhi ho kar ke khabar men hi rahun main tu vaqt ka aazar hai to phir main bhi ai 'mahir' patthar huun tire dast-e-hunar men hi rahun main sahil pe na aa jaun bhanwar mein hi rahun main ta-'umr tere dida-e-tar mein hi rahun main hai meri zarurat ko safar roz hi darkar kahti hai thakan paon ki ghar mein hi rahun main behtar hai karun khud ko khirad ke bhi hawale kab tak dil-e-nadan ke asar mein hi rahun main kya is ki zamanat hai ki tu tu hi rahega ek 'umr bhi ai dost agar main hi rahun main ek mil ke patthar ki tarah rah-e-adab mein gumnam bhi ho kar ke khabar mein hi rahun main tu waqt ka aazar hai to phir main bhi ai 'mahir' patthar hun tere dast-e-hunar mein hi rahun main
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar
Anwar Shaoor
95 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Mahir Seoharavi.
Similar Moods
More moods that pair well with Mahir Seoharavi's ghazal.







