ghazalKuch Alfaaz

sabhi ye puchhte rahte hain kya gum ho gaya hai bata duun? mujh se khud apna pata gum ho gaya hai tumhare din men ik rudad thi jo kho gai hai hamari raat men ik khvab thaa, gum ho gaya hai vo jis ke pech-o-kham men dastan lipti hui thi kahani men kahin vo majra gum ho gaya hai zara ahl-e-junun aao hamen rasta sujhao yahan ham aql valon ka khuda gum ho gaya hai nazar baaqi hai lekin tab-e-nazzara nahin ab sukhan baaqi hai lekin muddaa gum ho gaya hai mujhe dukh hai ki zakhm o ranj ke is jamghate men tumhara aur mera vaqia gum ho gaya hai ye shiddat dard ki us ke na hone se na hoti yaqinan aur kuchh us ke siva gum ho gaya hai vo jis ko khinchne se zaat ki parten khulengi hamari zindagi ka vo sira gum ho gaya hai vo dar va ho na ho, azad o khud-bin ham kahan ke palat aaen to samjho rasta gum ho gaya hai sabhi ye puchhte rahte hain kya gum ho gaya hai bata dun? mujh se khud apna pata gum ho gaya hai tumhaare din mein ek rudad thi jo kho gai hai hamari raat mein ek khwab tha, gum ho gaya hai wo jis ke pech-o-kham mein dastan lipti hui thi kahani mein kahin wo majra gum ho gaya hai zara ahl-e-junun aao hamein rasta sujhao yahan hum aql walon ka khuda gum ho gaya hai nazar baqi hai lekin tab-e-nazzara nahin ab sukhan baqi hai lekin muddaa gum ho gaya hai mujhe dukh hai ki zakhm o ranj ke is jamghate mein tumhaara aur mera waqia gum ho gaya hai ye shiddat dard ki us ke na hone se na hoti yaqinan aur kuchh us ke siwa gum ho gaya hai wo jis ko khinchne se zat ki parten khulengi hamari zindagi ka wo sira gum ho gaya hai wo dar wa ho na ho, aazad o khud-bin hum kahan ke palat aaen to samjho rasta gum ho gaya hai

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen

Ahmad Faraz

130 likes

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Irfan Sattar.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Irfan Sattar's ghazal.