sahra sagar sab paani sabza banjar sab paani avval avval paani tha akhir akhir sab paani paani paani shahr-panah masjid mandar sab paani koi din aisa hoga sahra sagar sab paani mustaqbil mitti ka dher maazi khandar sab paani aag dhamake khuun dhuan neze lashkar sab paani saari duniya danvadol dharti sagar sab paani andar andar aag dhuan jism ke bahar sab paani saare movahhid paani ke phuul mujavar sab paani sahra sagar sab pani sabza banjar sab pani awwal awwal pani tha aakhir aakhir sab pani pani pani shahr-panah masjid mandar sab pani koi din aisa hoga sahra sagar sab pani mustaqbil mitti ka dher mazi khandar sab pani aag dhamake khun dhuan neze lashkar sab pani sari duniya danwadol dharti sagar sab pani andar andar aag dhuan jism ke bahar sab pani sare mowahhid pani ke phul mujawar sab pani
Related Ghazal
kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar
Anwar Shaoor
95 likes
khaali baithe ho to ik kaam meraa kar do naa mujh ko achha sa koii zaKHm ada kar do naa dhyaan se panchiyo ko dete ho daana paani itne achchhe ho to pinjare se rihaa kar do naa jab qareeb aa hi ga.e ho to udaasi kaisi jab diya de hi rahe ho to jala kar do naa
Zubair Ali Tabish
102 likes
raaste jo bhi chamak-daar nazar aate hain sab teri odhni ke taar nazar aate hain koi paagal hi mohabbat se nawaazega mujhe aap to KHair samajhdaar nazar aate hain main kahaan jaaun karoon kis se shikaayat us ki har taraf us ke taraf-daar nazar aate hain zakham bharne lage hain pichhli mulaqaaton ke phir mulaqaat ke aasaar nazar aate hain ek hi baar nazar padti hai un par taabish aur phir vo hi lagaataar nazar aate hain
Zubair Ali Tabish
39 likes
safar men dhoop to hogii jo chal sako to chalo sabhi hain bheed men tum bhi nikal sako to chalo kisi ke vaaste raahen kahaan badalti hain tum apne aap ko KHud hi badal sako to chalo yahaañ kisi ko koi raasta nahin deta mujhe giraa ke agar tum sambhal sako to chalo kahii nahin koi suraj dhuaan dhuaan hai fazaa KHud apne aap se baahar nikal sako to chalo yahii hai zindagi kuchh KHvaab chand ummeedein inheen khilauno se tum bhi bahl sako to chalo
Nida Fazli
61 likes
aap jaison ke li.e is men rakha kuchh bhi nahin lekin aisa to na kahiye ki vafaa kuchh bhi nahin aap kahiye to nibhaate chale jaayenge magar is ta'alluq men aziyyat ke siva kuchh bhi nahin main kisi tarah bhi samjhauta nahin kar saka ya to sab kuchh hi mujhe chahiye ya kuchh bhi nahin kaise jaana hai kahaan jaana hai kyun jaana hai ham ki chalte chale jaate hain pata kuchh bhi nahin haaye is shahar ki raunaq ke main sadqe jaaun aisi bharpoor hai jaise ki hua kuchh bhi nahin phir koi taaza sukhun dil men jagah karta hai jab bhi lagta hai ki likhne ko bacha kuchh bhi nahin ab main kya apni mohabbat ka bharam bhi na rakhoon maan leta hooñ ki us shaKHs men tha kuchh bhi nahin main ne duniya se alag rah ke bhi dekha javvaad aisi munh-zor udaasi ki davaa kuchh bhi nahin
Jawwad Sheikh
50 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Khalid Karrar.
Similar Moods
More moods that pair well with Khalid Karrar's ghazal.







