saltanat ko tabah karte hain ye gunah badshah karte hain ham ghharibon ka zikr hi kya hai chhote mote gunah karte hain bech khate hain vo khudai ko ham to phir bhi khuda se darte hain saltanat ko tabah karte hain ye gunah baadshah karte hain hum gharibon ka zikr hi kya hai chhote mote gunah karte hain bech khate hain wo khudai ko hum to phir bhi khuda se darte hain
Related Ghazal
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain
Dagh Dehlvi
84 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar
Anwar Shaoor
95 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Syed Tabish Zaidi.
Similar Moods
More moods that pair well with Syed Tabish Zaidi's ghazal.







