saaqiya ek nazar jaam se pahle pahle ham ko jaana hai kahii shaam se pahle pahle nau-giraftaar-e-wafa saee-e-rihaaee hai abas ham bhi uljhe the bahut daam se pahle pahle KHush ho ai dil ki mohabbat to nibha dii tu ne log ujad jaate hain anjaam se pahle pahle ab tire zikr pe ham baat badal dete hain kitnii raghbat thii tire naam se pahle pahle saamne umr pa dii hai shab-e-tanhaai ki vo mujhe chhod gaya shaam se pahle pahle kitna achha tha ki ham bhi jiya karte the faraaz ghair-maaruf se gumnaam se pahle pahle
Related Ghazal
seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi
Jaun Elia
77 likes
chal diye fer kar nazar tum bhi gair to gair the magar tum bhi ye gali mere dilruba ki hai doston khairiyat idhar tum bhi mujhpe logon ke saath hanste ho log roenge khaas kar tum bhi mujh...ko thukra diya hai duniya ne main to mar jaaunga agar tum bhi uski gaadi to ja chuki taabish ab utho jaao apne ghar tum bhi
Zubair Ali Tabish
58 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
apni aankhoñ men bhar kar le jaane hain mujh...ko uske aansoo kaam men laane hai dekho ham koi vehshi nahin deewane hain tumse button khulwane nahin lagwane hai ham tum ek dooje ki seedhi hai jaana baaki duniya to saanpon ke khaane hain paakiza cheezon ko paakiza likho mat likho uski aañkhen maykhaane hain
Varun Anand
63 likes
ashk-e-naadaan se kaho baad men pachhtaayenge aap girkar meri aankhoñ se kidhar jaayenge apne lafzon ko takallum se giraakar jaana apne lehje ki thakaavat men bikhar jaayenge ik teraa ghar tha meri had-e-musaafit lekin ab ye socha hai ki ham had se guzar jaayenge apne afkaar jala daalenge kaaghaz kaaghaz soch mar jaayegi to ham aap bhi mar jaayenge isse pahle ki judaai ki khabar tumse mile hamne socha hai ki ham tumse bichhad jaayenge
Khalil Ur Rehman Qamar
50 likes
More from Ahmad Faraz
awwal awwal ki dosti hai abhii ik ghazal hai ki ho rahi hai abhii main bhi shehr-e-wafa men nau-waarid vo bhi ruk ruk ke chal rahi hai abhii main bhi aisa kahaan ka zood-shanaas vo bhi lagta hai sochti hai abhii dil ki waarftagi hai apni jagah phir bhi kuchh ehtiyaat si hai abhii garche pehla sa ijtinaab nahin phir bhi kam kam supurdagi hai abhii kaisa mausam hai kuchh nahin khulta boonda-baan dii bhi dhoop bhi hai abhii khud-kalaami men kab ye nashsha tha jis tarah roo-b-roo koi hai abhii qurbaten laakh KHoob-soorat hon dooriyon men bhi dilkashi hai abhii fasl-e-gul men bahaar pehla gulaab kis ki zulfon men taankti hai abhii muddatein ho gaiin faraaz magar vo jo deewaangi ki thii hai abhii
Ahmad Faraz
4 likes
karoon na yaad magar kis tarah bhulaaun use ghazal bahaana karoon aur gungunaun use vo khaar khaar hai shaakh-e-gulaab ki maanind main zakham zakham hooñ phir bhi gale lagaaun use ye log tazkire karte hain apne logon ke main kaise baat karoon ab kahaan se laaun use magar vo zood-faramosh zood-ranj bhi hai ki rooth jaa.e agar yaad kuchh dilaaun use vahii jo daulat-e-dil hai vahii jo raahat-e-jaan tumhaari baat pe ai naaseho ganwaun use jo hum-safar sar-e-manzil bichhad raha hai faraaz ajab nahin hai agar yaad bhi na aaun use
Ahmad Faraz
6 likes
jab bhi dil khol ke roye honge log aaraam se soye honge baaz auqaat b-majboori-e-dil ham to kya aap bhi roye honge subh tak dast-e-saba ne kya kya phool kaanton men piroey honge vo safeene jinhen toofaan na mile na-khudaon ne duboey honge raat bhar hanste hue taaron ne un ke aariz bhi bhigoye honge kya ajab hai vo mile bhi hon faraaz ham kisi dhyaan men khoye honge
Ahmad Faraz
7 likes
us ko juda hue bhi zamaana bahut hua ab kya kahein ye qissa puraana bahut hua ham khuld se nikal to ga.e hain par ai KHuda itne se waqie ka fasana bahut hua ab ham hain aur saare zamaane ki dushmanius se zaraa sa rabt badhaana bahut hua ab kyoon zindagi pe mohabbat ko vaar den is aashiqi men jaan se jaana bahut hua ab tak to dil ka dil se ta'aruf na ho sakaa maana ki us se milnaa milaana bahut hua kya kya na ham KHaraab hue hain magar ye dil ai yaad-e-yaar teraa thikaana bahut hua kahtaa tha naasehon se mire munh na aaiyo phir kya tha ek huu ka bahaana bahut hua lo phir tire labon pe usii be-vafa ka zikr ahmad-'faraz tujh se kaha na bahut hua
Ahmad Faraz
8 likes
aise chup hain ki ye manzil bhi kaddi ho jaise teraa milnaa bhi judaai ki ghadi ho jaise apne hi saa.e se har gaam larz jaata hooñ raaste men koi deewaar khadi ho jaise kitne naadaan hain tire bhoolne waale ki tujhe yaad karne ke li.e umr padi ho jaise tere maathe ki shikan pahle bhi dekhi thii magar ye girah ab ke mire dil men padi ho jaise manzilen door bhi hain manzilen nazdeek bhi hain apne hi paanv men zanjeer padi ho jaise aaj dil khol ke roye hain to yuñ KHush hain faraaz chand lamhon ki ye raahat bhi badi ho jaise
Ahmad Faraz
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ahmad Faraz.
Similar Moods
More moods that pair well with Ahmad Faraz's ghazal.







